Tuesday 29 November 2011

Khamoshi Bol Uthe, To Har Nazar Paighaam Ho Jaye

Khamoshi Bol Uthe, To Har Nazar Paighaam Ho Jaye
Ye Sannata Agar Had Se Badhe To Kohraam Ho Jaye

Sitaray Mashalein Le Kar Mujhy Bhi Dhoondny Niklain
Mein Rasta Bhool Jaoon To Junglon Mein Shaam Ho Jaye

Men Wo Adam-E-Guzedaan Hoon Jo Tanhai K Sehra Mein
Khud Apni Chaap Sun Kar Larza Bar-Andaam Ho Jaye

Misaal Aisi Hai Is Daur-E-Khirad K Hosh Mandon Ki
Na Ho Daaman Mein Zar’ra Aur Sehra Naam Ho Jaye

Shakeeb Apne Tarruf Ke Liye Ye Baat Kaafi Hai
Hum Is Se Bach Ke Chalte Hen Jo Rasta Aam Ho
DECEMBER jub be ata hai
wo pagli...
phir say beetay mousmoon kee
talkheeon koo
yaad kartee hai
purana card partee hai
kay jis may us nay
likha tha
may lotoon ga DECEMBER may

naye kapray banatee hai
wo sara ghar sajate hai
DECEMBER kay her ek din koo
wo gin gin kar betatee hai
jonhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jatee hai

magar phir be
purani album ko khol kar
mazi bulate hai!!

nahee malom yea is koo
kay beetay waqt ke khushian
bohut takleef daiteen hain
mehez dil ko jalate hain...

yonhi din beet jatay hain
DECEMBER loot jata hai
magar wo khush-fehem larki....
dobara say calender may
DECEMBER kay meheenay kay safay koo
moor kar phir say
DECEMBER kay seher may
doob jate hai....

kay akhir us nay likha tha
MAY LOTOON GA DECEMBER MAY...

Koi umeed bar nahi aati, Koi surat nazar nahi aati.

Koi umeed bar nahi aati,
Koi surat nazar nahi aati.
Mout ka ek din muaeeyn hai,
Nind kyu raat bhar nahi aati.
Aage aati thi haal-e-dil pe hansi,
Ab kisi baat par nahi aati.
Janta hu sawab-e-taat-o-zohad,
Par tabiyat idhar nahi aati.
He kuchh esi hi baat jo chup hu,
Warna kya baat kar nahi aati.
Kyu na chikhu ki yaad karte hain,
Meri aawaz gar nahi aati.
Gaag-e-dil gar nazar nahi aata,
Boo bhi ye charagar nahi aati.
Hum waha he jahaa se humko bhi,
Kuchh humari khabar nahi aati.
Marte he aarzoo me marne ki,
Mout aati he par nahi aati.
Kaabe kis muh se jaaoge GHALIB,
Sharm tumko magar nahi aati.

Usay Kehna K Lout Aao December Lout Aya Hai....

Usay Kehna K Lout Aao December Lout Aya Hai....
Ik Baar To Mil Jao K December Lout Aya Hai.....

Usay Kehna K Bin Tere Bohat Raatain Guzari Hain...
Is To Milne Aa Jao December Lout Aya Hai.......

Usay Kehna Judai Se Mahabbat Kam Nahi Hoti....
Yeh Duniya Ko Batla Jao December Lout Aya Hai.....

Usay Kehna K Chahat Ka Bharam Na Tootne Dena...
K Pal Do Pal Hi Aa Jao December Lout Aya Hai.....

Usay Kehna K Tanha Hai Koi Ab Bhi
Yeh Tanhai Mita Jao December Lout Aya Hai


Aankhon main sama jaty,ya dil mai utr jaty dono ka bhala hta, dono he sanwar jaty,

Aankhon main sama jaty,ya dil mai utr jaty
dono ka bhala hta, dono he sanwar jaty,

Milt to ye acha tha jewan ki musafat main
kush fasly kum hty,kuch roz guzer jaty,
 
Doori b ghanemat hai,ek aas to hai werna
Jo aas py jeety,wo loag bikher jaty,

Kuch roz judai k es hal main b guzry
Hansty huay ro dety, roty huay gir jaty,

Manzil na thikana, acha hai nahe kuch b
Rukty to kahan rukty,jaty to kider jaty.

Friday 4 November 2011

choom lati hai latak kar kbi chehra kbi lab full Ghazal




chashm-e-saqi ny kya khail racha rakha hai
. koi zahid koi may-khwaar bana raka hai. 



jo phansa phir na kabi us ny rehai mangi.
teri zulfho ny ajab jaal bicha raka hai


husan ishq ho dono ka asar yaksaan hai. 
cheez hai aik magr naam juda raka hai.



choom lati hai latak kar kbi chehra kbi lab
tum ny zulfon ko bohot sar par charah rakha hai.
 
teri makmooor nigahon se hai ronak sari. warna
saqi tere may khaney main kiya rahka hai?

kamaal-e-zabt to main khud bhi to azmaon gi



kamaal-e-zabt to main khud bhi to azmaon gi
main apne haath se uski dulhan sajaon gi

supurd kar ke use chaandni ke haathon
main apne ghar ke andheron ko laut aaongi

badan ke karb ko woh bhi samajh na payega
main dil main roungi aankhon main muskroungi

woh kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
main kis se rooth sakoungi kise manaongi

woh eik rishtaa-e-benaam bhi nahiin laikin
main ab bhi us ke ishaaron pe sar jhukhaoungii

bichaa diya tha gulabon ke saath apna wajood
woh sou ke uthe to khwaabon ki raakh uthaoungi

ab us ka fan to kisi aur se mansoob hua
main kis ki nazam akele main gungunaoungi

--z dhoondh raha thaa nayee mohabbat ka
woh keh raha tha ke main us ko bhool jaoungi

samaton main ghanay jangalon ki saansein hain
main ab kabhi teri awaz sun na paoungi

Haseen yaadon mein khoya tha bicharney se zara pehlay



Haseen yaadon mein khoya tha bicharney se zara pehlay

Bara khush feham soya tha bicharney se zara pehlay



Woh jis k haath chuney ko bhi be-adabi samjhtey the

Galey se laga ker roya tha bicharney se zara pehlay



Ussey maloom tha shayad judai hi muqadar hai

Woh kin sauchon mein khoya tha bicharney se zara pehlay

Jo meri aankh mein kajal ki tarah rehta tha




Aaj Rootha huwa ek shaks boht yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt boht yaad aaya

Meri aankho ke har ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee to bht yaad aaya

Jo mere dard ko seene mein chupa laita tha
Aaj jab dard huwa mujh ko bht yaad aaya

Jo meri aankh mein kajal ki tarah rehta tha
Aaj kajal jo lagaya to bht yaad aaya

Jo mere dil ke tha qareeb faqat us ko hi
Aaj jab dil nay bulaya to bht yaad aaya

Mere jeevan ki her khushi mein wohi tha bus
Aaj jab yaad woh aaya to bht yaad aaya...

Hath balon mein phairay to main so jaon ga,



Hath balon mein phairay to main so jaon ga,
Koi qissa wo sunaye to main so jaon ga,
Us se kehna k mujhe neend nahi ati,
Apni bahon mein sulaye to main so jaon ga,
Meri palkon pe saje hein kae raton se diye,
Koi palkon se bujhaye to main so jaon ga,
Aakhri sans mujhe moka de de ye zara,
Mera wada hai k wo aye to main so jaon ga,
Baad ki baad mein dekhen ge us se kaho,
Aaj ki raat na wo jaye to main so jaon ga.

Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota


kash main teray haseen hath ka kangan hota



kash main teray haseen hath ka kangan hota

tu baray piyar say chao say baray man kay sath

apni nazuk see kalaee main charhaty mujh ko

aor betaby say furqat kay khiza lamhon main

tu kisee soch main doby jo ghumaty mujh ko

main teray hath ki khushbu say mehak sa jata

jab kabhi mood main akar mujhay chuma karty

teray honton ki main hiddat say dehak sa jata

rat ko jab bhi tu nindh kay safar pay jaty

marmarin hath ka eik takiya banaya karty

main teray kan say lag kar kaii batain karta

tery zulfon ko teray gal ko chumaa karta

mujh ko betab sa rakhta tery chahat ka nasha

main tery roh kay gulshan main mehakta rehta

main teray jism kay angan main khanakta rehta

kuch nahin tu yehi benam sa bandhan hota

kash main teray hansee hath ka kangan hota



Shikwa-e-ishq nahi, jurat-e-guftar nahi
Meray hathon main koi jabr ki talwar nahi

Ibn-e-adam hoon, insaan say muhabbat ki hai.
Aag ka, chand ka, pathar ka paristaar nahi,

Maine Mana k tu Yousaf sa haseen hai lekin
Ye mera dil hai koi misr ka bazar nahi.

Ay KHUDA mujh ko muhabbat day ibadat k iwaz.
Main to teri kisi janat ka kharidar nahi.

Jis nay insan say muhabbat hi na ki ho  
Darhaqeeqat wo Khuda ka bhi talabgar nahi.


"Wo mehndi lage hath dikha k Roi,
Main kisi aur ki hon wo ye bta k roi,
Umar bhar ki judi ka khial aya tha shaid,
Wo mjy pas apny dair tk btha k roi,
Ab k na sahi zaror hashar main milain gi,
Yakja hony ka dilasa dila k roi,
Mj sy ziada bichrny ka gham usy tha,
Waqt-e-rukhst seeny sy laga kr roi,
Main be-kasoor hon qudrat ka faisla hai yeh,
Lipt kr mj sy bs wo itna bata kr roi,
Mj py ak kurb ka tufan ho gya hai,
Jb mery samny mery khat jala k roi,
Meri nafrt or adawat pigal gai ak pal main,
Wo bewafa hai to kion mjy rula kr roi,
Sb shikway mery ak pal main bdl gay
Jheel si ankhon main jb ansu sja kr roi,
Wo mjy mehndi lgy hath dikha k roi."'

Subah hotey hi tere shehr se jana hai mujhe Aaj ki raat zara mujh ko mana kr sona...!!



Apni ankhon k sabhi ashk baha kr sona
Tum meri yaad ka hr deep bujha kr sona

Ek sitara bhi mere khiyal ka baqi na rahey
Chandni shabb k nishanaat mita kr sona

Darr lgta hai k ye neend kahin cheen na ley
Tera hr roz mere khawab mein aa kr sona

Baad mein log gira dein gey to koi baat nahi
Her taraf piyar ki dewaar uthaa kr sona

Subah hotey hi tere shehr se jana hai mujhe
Aaj ki raat zara mujh ko mana kr sona...!!


abhi rat baki hai yeh dhal jaye tou soo jana,

ghari bhar ko dil-e-naadan sambhal jaye to so jana,



yeh jalte hoonth aur yeh neend mein doobi aankhain,

zara thehroo mujhe bhi neend aa jaye to so jana,


khush ho tum tumhein kia gham, tumhein to neend pyari hai

hamara haal mat pocho ke hum per raat bhaari hai,



humara sar pe qayamat hai yeh tal jae to so jana,

abhi to raat baki hai yeh dhal jaye to so jana,

Sad Ghazals