Thursday 11 October 2012

Na Jane Us k Dil Mein Mehfilain Abaad Hon Kitni

Na Jane Us k Dil Mein Mehfilain Abaad Hon Kitni

Akela Jo Bhi Betha Ho Usay “Tanha” Nahi Kehty


Saturday 25 August 2012

Uss Se Krta Hoon Mulakaat Simatney Ke Liye,

Uss Se Krta Hoon Mulakaat Simatney Ke Liye,

Uss Se Milta Hoon To Kuch Aur Bikhar Jata Hoon

Tujhe Uss Se Tawaka Ho, To Ho Warna,

Tujhe Uss Se Tawaka Ho, To Ho Warna,

Yahaan To Aadmi Ki Shakal Se Bezaar Bethey Hain

Jin Ka Milna Muhaal Ho Aatish,

Jin Ka Milna Muhaal Ho Aatish,

Un Ki Yaadein Azaab Hoti Hain.

Dard Itna Hai K Har Rag Main Hai Mehshar Barpa,

Dard Itna Hai K Har Rag Main Hai Mehshar Barpa,

Sakoon Aisa ,
K Mar Janay Ko Dil Krta Hai...

Pehle Usko Socha Tha Ya Pehle Usko Chaha Tha,

Pehle Usko Socha Tha Ya Pehle Usko Chaha Tha,

Aisi Batein Kia Sochein...?
Jab Sub Iqraar Zubani Hoon...

Chal Mere Saath Kabhi To Kisi Weeraney Mein,

Chal Mere Saath Kabhi To Kisi Weeraney Mein,

Main Tujhe Shehar K Mahol Se Hut Kr Dekhoon

Dard Khaney Ka Buhat Shouk Tha Tum Ko Shakir,

Dard Khaney Ka Buhat Shouk Tha Tum Ko Shakir,

Dard Mehka Hai To Ab Shor Machatey Kyon Ho...?

Tanhayion Mein Beth Kr Tum Sochtey Ho kEYa ,

Tanhayion Mein Beth Kr Tum Sochtey Ho kEYa ,


Kuch To Humein Batao Pareshan Hum Bhi Hain

Tu Badalta Hai To Be-SAakhta Meri Aankhen,

Tu Badalta Hai To Be-SAakhta Meri Aankhen,

Apnay Haaton Kee Lakiron Mein Ulaajh Jaati Hain

Meri Aankhoon Main Ab Bhi Chubhta Hai,

Meri Aankhoon Main Ab Bhi Chubhta Hai,

Tu Ne Jo Khwaab Tor Dala Tha.....

Inhi Pathron Pe Chal K Aa Sako To Aao,

Inhi Pathron Pe Chal K Aa Sako To Aao,

Mere Ghar K Raastay Mein Koi Kehkshan Nahin Hai

Itne Sangdil Na Bno, Kuch To Murawat Seekho Ghalib, Tum Pe Martay Hain To Keya Maar Hi Dalo Gay...?

Itne Sangdil Na Bno, Kuch To Murawat Seekho Ghalib,

Tum Pe Martay Hain To Keya Maar Hi Dalo Gay...?

Ye Bhi Acha Hua K Usay Paa Na Sakay,

Ye Bhi Acha Hua K Usay Paa Na Sakay,

Humara Ho K Bicharta To "QAYAMAT" Hoti

INSAN ki azmat ko tarazoo mein na tolo,

INSAN ki azmat ko tarazoo mein na tolo,

INSAN tou hur daur mein anmool raha hai

Aalam-e-zaat main darwaish Bana Deta hai,

Aalam-e-zaat main darwaish Bana Deta hai,

Ishq Insaan Ko Pagal Nahi Honay Deta

SochOon To Jor Loon Kehi Totty Howe Mizaj,

SochOon To Jor Loon Kehi Totty Howe Mizaj,

Dekhon To Apna Shesha-E-Dil PAsh Pash Hai

Bohat Ujra Howa Dil Hay Mager Apna Aqeeda Hai,

Bohat Ujra Howa Dil Hay Mager Apna Aqeeda Hai,

Jahan Mehkein Teri Yaadein Wo Sehra Ho Nahi Sakta

Kaho phir kiya kia jai…? Mujhe tum achi lagti ho

Kaho phir kiya kia jai…?
Mujhe tum achi lagti ho
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
Kaho Phir kiya kia jai…?Tumhari jagmagati, Muskurati,
Geet gati, Dil ruba Aankhai’n
Boht gehri Badi katil nihayat
Kushnuma Aankhai’n
Mere Dil se meri Be’tabiyo’n se
Khailti Aankhai’n
Kamoshi ki zuba’n me
mujh se kiya kuch Bolti Aankhai’n
Bazahir Dosto’n me Khil-kilati
Chor Nazro’n se mujhe Muskurati
Aawaz deti Dhunty Aankhai’n
wo meri Rouh K Rukhsar ko
ek faasle Chumti Aankhai’n
Ye sb Batai’n btati hay
Main tum ko Acha lagta ho’n
wo mere Zabth Kho Denay
pe Pemaish bhari Nazrai’n
Ada-e-be’niazi ka wo ek
naa-kaam sa manzar
wo ek Kamzor si be’ittifaqui,
be’rukhi k sir pe ek
Mohoom se kawish
Mujhe ha’n mujhe
yu’n he Nazar andaz
karne ki wo ek
Dil-Chusp si koshis
Sar-e-Mehfil tumhara Raaz
Khul jane k Dhar se
Be’irada gher ehem Logo’n se
Rasm-e-guftogu’n karna
Ye sb Batai’n btati hay
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
kaho phir kiya kia jai…?
Mere be’sakhta fikre
mere Lehjay ki hr Shoki
Mera hr waqt hr ek Simt
tum ko Dhunttai’n rehna
Nazar partay he tum pr
Zor se Dil ka Dharak uthna
Ye sb batai’n btati hay
Mujhe tum Achi lagti ho
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
Kaho phir kiya kia jai…?
Hamaray Darmiya’n Rasmo’n, Riwajo’n ka
Samaji martabe ka Umr ka or Khandano’n ka
Boht gehra khala hay
Usay Kesay, Kesay, Kesay pur kiya jai…?
Kaho phir kiya kia jai…?
Kaho phir kiya kia jAi…?

UnKahi K Lehjay Main Kya Kya Nahi Kaha Hum Ne

UnKahi K Lehjay Main
Kya Kya Nahi Kaha Hum Ne
Un Soo’Ne K Parday Main
Kya Kya Nahi Sona Tum Ne

Raaz Jo Nahi Khulta!
Jante Hain Hum 2no

Bat Jo Nahi Karte
Mantey Hain Hum 2no

Dhund Chayee Rehti Hai
Ke’hair Jaisa Alaam Hai
Dil ‘Zadoo Ki Basti K
Kya Ajeeb Mosaam Hai

Ak Mehak Fasorda See
Jaisay FAIZ Ki Naz’men
Yaad Ki Kasak Ho Jaisay
FARAZ Ki Ghaz’lein

Soch Ak Jaisee Hai
Khuwab Ak Jaisay Hain
Door Door Reh Kar Bhi
Sath 7 Chalte Hain
Khush’Gomaniyaan Dil Ki
Kaan Main Ye Kehti Hain

Doo’riyoon Say Darna Kya
Aahh’Hay’Sard Bharna Kya

Asee Roth Bhi Ayee Ge
Jab K Shak’khay’Farwa Par

Mas’lay Gul Khe’lain Gay Hum
Ak Din Melain Gay Hum……………!

Aoron Ke Pass Ja K Meri DAastan Na Pooch ,

Aoron Ke Pass Ja K Meri DAastan Na Pooch ,

Tu Kuch To Mere Chehrey Pe Likha Hua Bhi Dekh.

Koi Taza Kahani Or Bhi hai Abhi Kuch Rayeegani Or Bhi Hai

Koi Taza Kahani Or Bhi hai
Abhi Kuch Rayeegani Or Bhi Hai

Kinarey Kiyun Piyasay Reh gaye Hain
Agar Darya Main Pani OR Bhi Hai

Yahan Par Hausla Bikhraa Howa Hai
Wahan AiK Huk'may'saani Or Bhi Hai

Badan Phir Gir'day'sehra Ho Na Jaye
Safar Main Rayeegani Or Bhi Hai

Abhi hai Wehshat'tay'ghaam Say Muhabbat
Abhi Ashkoon Main Rawaani Or Bhi Hai

Agar'chaa Hukm Hai Tar-E-jonoon ka
Magar Is Dil Ne Thaani Or Bhi Hai.......!!

Khud kO Wadeef'fay'Gobar Kya Karte Hum Tera Itbar Kya Karte

Khud kO Wadeef'fay'Gobar Kya Karte
Hum Tera Itbar Kya Karte

Hijar Main Wa'saal Ki Kahani Ko
Hum Bhala His'saydar Kya Karte

Dhoop Ki Is Kaa'ri Tama'zat Main
Shajar Bai'Sayaa Dar Kya Karte

Khwash Khuwab Dil Say Jate Rahi
Raat Ka Intezar Kya Karte

Saa'athh Bai'Amaal Muqaddar Thi
Manzeeloon Ka Shumaar Kya Karte

Bad'goomani'yoon Ki Taiz Barish Main
Hum Safar Akhteyaar Kya Karte

Ab To Imkaan'ne'Deed Bhi Na Raha
Jaa K Hum Koye-e-yaar Kya Karte.....

Chahoon To Mere Pass Hai Her Baat Ka jawab,

Chahoon To Mere Pass Hai Her Baat Ka jawab,

Chahoon Ga Aik Roz,
Abhi Chahta Nahi...

Wo Kr Raha Tha Apni Wafaon Ka Tazkara,

Wo Kr Raha Tha Apni Wafaon Ka Tazkara,

Hum Per Nigah Pari To Khamosh Ho Gya.....

Kisi Be Wafa Ki Khatir Ye Junoon Faraz Kab Tak,

Kisi Be Wafa Ki Khatir Ye Junoon Faraz Kab Tak,

Jo Tumhe Bhula Chuka Ho Usse Tum Bhi Bhool Jao,

Shehar Mein Eid Ki Tareekh Badal JAyE GEe...

Aaj Ki RAat Tum Ghar Sy Na Nikalna Hargizz...

Shehar Mein Eid Ki Tareekh Badal JAyE GEe...

Jin Patharoon Ko Hm Nay Ata Ki Theen Dharkanain,

Jin Patharoon Ko Hm Nay Ata Ki Theen Dharkanain,

Unko Mili Zubaan To,
Hum Per Baras Paray

Hm Kis Se Milen...? Kis Se Kahen Eid Mubarik...?

Dastoor Hai Duniya Ka Magar Yeh To Btao,

Hm Kis Se Milen...?
Kis Se Kahen Eid Mubarik...?

Apni Gali Main Apna Hi Ghar Dhondtay Hain Log,

Apni Gali Main Apna Hi Ghar Dhondtay Hain Log,

Amjad Yeh Kon Shehr Ka Naqsha Badal Geya...??

Abhi Masroof Hoon Kaffi, Kabhi Fursat Mein Sochon Ga...

Abhi Masroof Hoon Kaffi,
Kabhi Fursat Mein Sochon Ga...

K Tujh Ko Yaad Rakhnay Mein, Main KEya KEya Bhool Jaata Hoon.

Khizaan Ki Gard main Ya Mosam-e-Bahar main Hoon

Khizaan Ki Gard main Ya Mosam-e-Bahar main Hoon
Ye kaisa Mor Hai main Kis K Intazar main Hoon

Shab-e- Sayah main Bhala koi Sath Kia Daita
Main Be charag Musafar Hon or Ghubar main Hoon

Mera Shaouar Behalta Nahi Hai Lafzon Se
Main Tare Khat k Nahi Tare Intazar main Hoon

Badan main Roshani Khushboo K Sath ayi Hai
Main Tare Khwab main ya Mosam-e-Bahar main Hoon

Kisi se Koi Gilla Hai Na Khush Gumani-e-Dil
Kai Dinoon se Ajab Tarha K Fashar main Hoon

KABHI AISA BHI HOTA HAI KOI BE NAAM SI WAHSHAT MUJHE YU’N GHAIR LETI HAI

KABHI AISA BHI HOTA HAI
KOI BE NAAM SI WAHSHAT MUJHE YU’N GHAIR LETI HAI
HAR IK SHA’I ZEHAR LAGTI HAI
KOI CHEHRA, KOI PEKAR MUJHE ACHA NAHI LAGTA
NIHAYAT DIL RUBA BE HAD HASEE’N, RANGEEN QURBAT BHI
MUJHE BE QAIF KARTI HAI
MUJHE APNI PASANDEDA
WO IK NAMKEEN SI SURAT
PHEKI PHEKI LAGTI HAI
TANAZUR HI BADAL JATA HAI
MERI KHUSH NIGAHI, KHUSH MIZAQI KA
MERE SUNNE MERE CHAKHNE MERE MEHSOOS KARNE KI
HAR IK HISS MAR SI JATI HAI
BUHAT MAQBOOL MERI KHUSH KALAMI BHI
NIHAYAT BE RAAS-O-MAJHOOL LAHJA OORH LETI HAI
PASANDEDA MERA MASHROOB
YANI AAB-E-SARD-O-SADA-SHEEREE’N BHI
SERABI NAHI DETA
ZAROOF-E-KHUSH NUMA MAIN BHAANP DETE
MERI MAA K MEHARBAN AUR TAAQ HATOON SE BANE
LAZAT BHAREY KHANO KI RUGHBAT
UTH SI JATI HAI
KISI K DAST-E-NAZUK SE BANI STRONG COFFEE BHI
MUJHE APNE ANARI HAATH KI CHAI SI KAGTA HAI
AJAB SAFAAK WAHSHAT HAI
MERE DIL KI LUGAT SE
LAFZ KHUSH K JITNE BHI HAI’N
LAHIQE AUR SABQE SAB CHEEN LETI HAI
MAIN IS WAHSHAT SE GHABRA KAR
NISHAT-E-SHER-O-NAGMA MAIN PANAH LENE KO AATA HON
MAGAR IK BE-KALI
IK JAAN LEWA BE-KALI DASTI HI RAHTI HAI
NIHAYAT SAAD-O-PURKAAR LAHJEY MAIN
BAHTER MEER K NASHTAR
WO DIL SOOZI ALAM NAKI
MUSALSAL AAH-O-GIRYA
YAAS-O-HARMA
KUCH BHI TOU MAYAL NAHI KARTE
MERI WAHSHAT K QATIL ZEHAR KO ZAYIL NAHI KARTE
MUJHE GALIB KI UMDA SHAIRI
BHARPOOR SHOKHI, DIL NAWAZI
FALSAFA, GHARAI SAB BE-MANI LAGTEY HAI’N
TA’AJUB HAI K HASRAT KA BUHAT DILKASH TAGAZUL BHI
MERE DIL KO NAHI CHOOTA
JIGAR KI ISHQ MAIN DOOBI TARANUM REEZ GAZLAIN BHI
MUHABBAT KA NASHA TARI NAHI KARTI’N
MIJAZ-E-LAKHNOW KI SHEHAR-E-AFAAQ AAWARA
MERI WAHSHAT K ATISH DAAN MAIN EENDHAN SA BHARTI HAI
MUJHE AKHTAR KI SALMA, JAN.NISAAR AKHTAR KI ANJUM
MUSTUFA ZAIDI KI QATIL LALA RUKH SHAHNAZ BHI
DILKASH NAHI LAGTI
DIYAAR-E-SHARQ KI ABADIYO’N K OONCHEY TEELO PER BHATAKTA
AKHTAR-UL-EEMAAN KA HUMZAAD LARKA BHI MUJHE ACHA NAHI LAGTA
MUJHE MAKHDOOM KI UHD-E-JAWANI KA NIHAYAT DIL NASHEE’N
ROMAAN PARWAR RANG BHI BE-RANG LAGTA HAI
MUJHE SAHIR KI DIL KO AANCH DETI SHAIRI
BEZAAR KARTI HAI
HAMARE FAIZ SAHAB K BUHAT MADHAM SULAGTEY NARM LEHJE KI KASAK
YUNHI SI LAGTI HAI
MUJHE RASHID KI WAHSHAT KHAIZ BANHO MAIN THIRAKTI
DILRUBA JIDDAT TABA HUM RAQS BHI
KOHNA SI LAGTI HAI
MAJEED AMJAD K MISROO’N KA TASALSUL
MUNFARID MOUZOO, KAMAL-E-NAZM GOI AUR TA’ASUR
MUJH PE KOI KAIFIAT TARI NAHI KARTE
MAIN APNE DIL SE AKSAR POCHTA HO’N
AE DIL-E-WAHSHI
YE AALAM KAISA AALAM HAI
YE WAHSHAT KAISI WAHSHAT HAI
MUJHE KYUN GHAIR LETI HIA
BADAN MAIN GOONJTI, MERE LAHOO MAIN SANSANATI HAI
YE WAHSHAT KAISI WAHSHAT HAI
KAHAN SE HO K AATI HAI
YE KIS RAHLAT KA NOHA HAI
YE KIS HASRAT KA HASIL HAI
GUZISTA SHAB YAHI WAHSHAT
MERE DIL PER MUSALAT THI
MUSALSAL KARWATAIN THI’N, JAAN LEWA BE-KALI SI THI
ACHNAK DIL KI BE-TARTEEB DHARKAN NE
SUKOOT-E-SHAB KO YU’N TOORA
“SUNO HARE HOE INSAA’N!!
BHALA KAB TAK TUMHARI KHUD FAREBI
TUM KO IS WAHSHAT MAIN RAKHE GI?
JINHAIN TUM ZINDAGI SE BE-DAKHAL KAR K
BAZAHIR FATEHANA SHAAN SE ITRATE PHIRTE HO
ABHI TAK ZEHAN-O-DIL PER
ROOH PER QABZA UNHI KA HAI
YE WAHSHAT IK KASAK HAI, GUMSHUDA LOGOO K KHONE KI
YE WAHSHAT HI SABAB HAI IS TARHA BE-ASHK RONE KI”

DIL k zakhmon ko tabbasum mein chupa rehny do

DIL k zakhmon ko tabbasum mein chupa rehny do

Yahan log tzkra_e_gham pe hansa krty hain....!

Wo Ashk Bn K Meri Chashm E Tar MAin Rehta Hai,

Wo Ashk Bn K Meri Chashm E Tar MAin Rehta Hai,

Ajeeb Shaks Hai Pani K Ghar Main Rehta HAi....

Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye

Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye

Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye

Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka
Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye

Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye

Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye

Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye

Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad
Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye

Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye

Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa
Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye

Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Sochte Hain Jaan Apni Usay Muft De Dein

Sochte Hain Jaan Apni Usay Muft De Dein

Itne Masoom Se Kharidar Se Kya Lena Dena

Mohabbaton Mein Gar Koi Jaadugari Nahin Hoti

Mohabbaton Mein Gar Koi Jaadugari Nahin Hoti
Chakori Chaand Ke Liye Yun Baa'nwari Nahin Hoti

Dil Ki Aahatain Dil Khud BaKhud He Suntaa Hai
Dil Ke Muaamlaat Mein Mukhbari Nahin Hoti

Ik Nigaah Mein He Log Rooh Tak Utartay Hain
Nazar Koi Bhi Pyar Mein Sarsari Nahin Hoti

See'nchtaa Hoon Raat Din Aab-e-Chashm Se Magar
Phir Bhi Shaakh-e-Jaa'n Mri Kyun Hari Nahin Hoti

Le Jaa Khud Samait Kar Jo Bhi Meray Paas Hai
Ab Mujh Se Teri Yaado'n Ki Dilbari Nahin Hoti

Tu Ne jo Bhula Diya Tou Kyun Karoon Shikayatain?
Khudaa Ke Kis Kaam Mein Behtari Nahin Hoti?

Ik Chiraagh Se Yaha'n Sau Chiraagh Jaltay Hain
Mohabbat Koi Jahaan Mein Aakhri Nahin Hoti

Haan Bhatak He Jaana Tha Teerah Raah Mein Mujhay
Kisi Ke Naqsh-e-Paa Se Jo Raahbari Nahin Hoti

Teray Baad Bhi Khwaab Dekhta Hai, Per
Ab Kisi Bhi Khwaab Mein Koi Pari Nahin Hoti

Izhaar-e-tamanna pe ajab haal hai unka

Izhaar-e-tamanna pe ajab haal hai unka______!!!

Aankhein tu raza-mand hain, lab soch rahay hain__

Mehmaan Bn k Aaye Kisi Roz Gar Wo Shaks,

Mehmaan Bn k Aaye Kisi Roz Gar Wo Shaks,

Us Roz Bin Sajaaye Mera Ghar Saja Lage....

Gulaab Aankhen Sharab Ankhen, Yehi To Hein La-jawab Aankhen,

Gulaab Aankhen Sharab Ankhen,

Yehi To Hein La-jawab Aankhen,

Inhi Me Ulfat , Inhi Me Nafrat

Sawab Aankhen , Azab Aankhen.

Kbhi Nazar Me Bala Ki Shokhi

Kbhi Sarapa Hijab Aankhen.

Kbhi Chhupaati Hn Raaz Dil K

Kbhi Hn Dil Ki Kitab Aankhen.

Kisi Ny Daikhi To Jheeel Jaisi

Kisi Ny Payeen Saraab Aankhen.

Woh Aaye To Log Mujh Se Bolay

Hazoor Aankhen Janab Aankhen.

Ajeeb Tha Guftagu Ka Aalam

Sawal Koi Jawab Aankhen.

Yeh Mast Mast be-Misal Ankhen

Nashy Se Hr Dam Nidhal Ankhen.

Uthain To Hosh-o-Hawaas Cheenen

Giren To Kr Dain kamal ankhen.

Koi Hai Inn K Karam Ka Talib

Kisi Ka Shook-e-Wisal Ankhen

Na Yun Jalain Na Yun Satain

Karen To kuch Ye kheyal Ankhen

Hyn Jeene ka ik Bahana Yaro

Ye Rooh Parwar Jamal Ankhen

Daraz Palken Ghazal Ankhen

Musawri ka Kamal Ankhen

Shrab RAB Ne Haram kardi

Magr Rakhi Hen Halal Ankhen

Hazaro inse Qatal HueHen

Khuda k Banday Sambhal Ankhen

AankhooN Ki Gali Main Koi Awara Sa AnsooO...

AankhooN Ki Gali Main Koi Awara Sa AnsooO...

PalkooN Se Tere Ghar Ka Pata Poch Raha Hai...

Sr Main Dard Ka Bahana Sa Bna Kr,

Sr Main Dard Ka Bahana Sa Bna Kr,

Hm Toot K Rotay Hain Teri Yaad Main Aksar....:-P

Rang Bikhrain Gay To Faryaad Karray Gi Khushboo,

Rang Bikhrain Gay To Faryaad Karray Gi Khushboo,

Tum Kisi Phool Ko Chutkee Say Masaal Kar Daikho..

MaGhroor Hamain Kehti Hai To Kehti Rahy Dunya,

MaGhroor Hamain Kehti Hai To Kehti Rahy Dunya,

Hum Mur Ke Kisi Shaks Ko Dekha Nahi KartyeY..

Kiyon May Kaday Mein Baith Kar Bantay Ho Paarsa,

Kiyon May Kaday Mein Baith Kar Bantay Ho Paarsa,

Nazren Bata RahEen Hen K Niyat Kharab Hay

yunhi kal raat ko janam

yunhi kal raat ko janam
ajab si soch main gum thi
teri batain teri yadain
ab mjhay tanha nahi kerti
yunhi hastay hoye aksar
najanay phr se kion ab b
purani kuch haseen batain
mjhay phr se rulati hain
yahi daikh ker ker aksar
meri ankhain barasti hain
magar aik baat yeh b hai
teri masoom si batain
mujhay phr se hasati hain
mujhay ronay nahin daiti
magar ab kia karun main b
muqadar main jo likha hai
khuda hi janta bus hai
yahi samjh ker janam
main kal raat ko pyaray
ajab si soch main gum thi..!!

Aankhein Rahen Gi Sham-O-Seher Muntazir Teri,

Aankhein Rahen Gi Sham-O-Seher Muntazir Teri,

Aankhon Ko Sonp Dein Ge Tera Intezar Hum

yeh sach kaha tum ne udasi meray chehray pr

yeh sach kaha tum ne
udasi meray chehray pr
zara achi nahi lagti
chalo main man laiti hn
tumhara yeh b kehna ab
k mai hasti rahungi bas
magar yeh b to rona
sabhi ka yeh hi kehna hai
k mil skta nai kuch b
kisi b baat se pehlay
main ek majbor larki hn
bht hi toot si jati hn
jab yeh hi yad ata hai
k ab milna mjhay tera
Khuda k hath mai hi hai
suno..!!
hum aisa kertay hain
kisi se kuch nai kehtay
bus krtay hain ab dono
ro ro k duaen bus
jo taqdeer sath mai hogi to
lakerain hathoun mai jo hogi to
tujhay phr mil hi jaega
teray khawoboun ka wo ek ghar
chalo ab tum kehtay ho
to ansoo ankhoun mai rakhtay hain
tumsay kuch nai kehti
main ab hasti rahuungi bas..!!

main ne socha chalo ker lay

main ne socha chalo ker lay
hum koi samjhota is dil se
magar yeh kia k mri dharkan
bagawat dil se kerti hai
zara daikho tum a ker
kyoun hairan main b hoon
suna hai uski chahat main
milawat had se ziada thi
chalo mana k ye anayat
qiyamat phir se kerti hai
mri ankhain mri palkain
ab nam achi nahin lagti
jo pathar tha ab tota
her sabr b uska
kushion ki yeh barish
suno tum jan lo logoun
ek roz meray agan main
phir se jhoom k hogi..!!

Wo Milla To Sadioon bad bhi Mairay Lab per koi Gilla na tha

Wo Milla To Sadioon bad bhi Mairay Lab per koi Gilla na tha,

Use mairy chup ne Rula Diya Jise Guftagu Main Kamal Tha

Aalam-e-zaat main darwaish Bana Deta hai,

Aalam-e-zaat main darwaish Bana Deta hai,

Ishq Insaan Ko Pagal Nahi Honay Deta

Wednesday 22 August 2012

Eid k roz b majboor thy taqdeer sy hum


Eid k roz b majboor thy taqdeer sy hum
 Ro pary mil k galy ap ke tasveer sy hum
 
 Mera jo kuch hai tera hai tery leye he to hai 
 Tu agar jan b mangy to tujhe dety hum,
 
 Hum ny kia kia na keya piyar mein O mery sanam
 Phir b mehroom rahy teri wafaon sy hum
 
 Teri yadoon ny shama bana k jalaya mujh ko
 Parwano ke tra is agg mein jalty rahy hum
 
 TUM ne kaha tha lout aon ga ''EID py'' EID ka din hai lout ao warna mar jain gy hum

Saturday 18 August 2012

Thursday 16 August 2012

Dard Khaney Ka Buhat Shouk Tha Tum Ko Shakir,





Dard Khaney Ka Buhat Shouk Tha Tum Ko Shakir,

Dard Mehka Hai To Ab Shor Machatey Kyon Ho...?

Koi Taza Kahani Or Bhi hai

Koi Taza Kahani Or Bhi hai
Abhi Kuch Rayeegani Or Bhi Hai

Kinarey Kiyun Piyasay Reh gaye Hain
Agar Darya Main Pani OR Bhi Hai

Yahan Par Hausla Bikhraa Howa Hai
Wahan AiK Huk'may'saani Or Bhi Hai

Badan Phir Gir'day'sehra Ho Na Jaye
Safar Main Rayeegani Or Bhi Hai

Abhi hai Wehshat'tay'ghaam Say Muhabbat
Abhi Ashkoon Main Rawaani Or Bhi Hai

Agar'chaa Hukm Hai Tar-E-jonoon ka
Magar Is Dil Ne Thaani Or Bhi Hai.......!!

Chahoon To Mere Pass Hai Her Baat Ka jawab,

Chahoon To Mere Pass Hai Her Baat Ka jawab,

Chahoon Ga Aik Roz,
Abhi Chahta Nahi...

Sunday 12 August 2012

Gham Badhe Aate Hain Qatil Ki Nigahon Ki Tarah

Gham Badhe Aate Hain Qatil Ki Nigahon Ki Tarah
tum chupaa lo mujhe, ae dost, gunaahoN ki tarah

apani nazaroN maiN gunaahagaar na hote, kyuNkar
dil hii dushman hai muKhaalif ke gvaahoN ki tarah

har taraf zeest kii raahoN maiN kaDii dhoop hai dost
bas terii yaad ke saaye haiN panaahoN ki tarah

jin ki Khaatir kabhii ilzaam uThaaye, 'faakir'
wo bhii pesh aaye haiN insaaf ke shaahoN ki tarah

Bahar Rutt me ujar Rasty, Tak’ka kro gy to Ro paro gy


Bahar Rutt me ujar Rasty,
Tak’ka kro gy to Ro paro gy
Kisi se milny ko jab bhi Mohsin,
Sajja karo gy to Ro paro gy
Tumhare wadon ne yar muj ko,
Tabah kiya hy kuch is trha se
K zindgi me jo phir kisi se,
Dagha karo gy to Ro paro gy
Main janta hon meri muhabbt,
Ujar dy gi tumhe bhi aise
K chand raton me ab kisi se,
Mila kro gy to Ro paro gy
Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe stayein gi meri ankhen
Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…….
Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…!!!

Tujhe Uss Se Tawaka Ho To Ho Warna,

Tujhe  Uss Se Tawaka Ho To Ho Warna,

Yahaan To Aadmi Ki Shakal Se Bezaar Bethey Hain

Tu To Kehta Tha Ke Pathar Hai Tera Dil Anjum,

Tu To Kehta Tha Ke Pathar Hai Tera Dil Anjum,

Ab Andheron Mein Betha Ashak Bahata Kyoun Hai..?

Tum mere liye koi or ilzaam na dhoondo,

Tum mere liye koi or ilzaam na dhoondo,

Chaha tha tujhe ik yehi ilzaam buhat hai

Teri Nigah Mein Ik Rang-E-Ajnabiyat Tha,

Teri Nigah Mein Ik Rang-E-Ajnabiyat Tha,

Kiss Aitbaar Mein Hum Khul Ker Guftgu Kertey...?

Tum Pass Nahi To Ajab Haal Hai Dil Ka,

Tum Pass Nahi To Ajab Haal Hai Dil Ka,

Yoon Jaise Mein Kuch Rakh Ke Bhool Gaya Hoon

Tishnagi Jam Gayi Pathar Ki Tarah Honton Per,

Tishnagi Jam Gayi Pathar Ki Tarah Honton Per,

Doob Ker Bhi Tere Darya Mein, Main Pyaasa Nikla

Phool Hi Haath Lagein, Haath Mein KAante Na Chubhein ,



Phool Hi Haath Lagein, Haath Mein KAante Na Chubhein ,

Aap Bhi AayeN Hain Kia Khoob Tamanna Le Kar

Phool Daman Mein Sajaey Phirte Hain Wo Log,

Phool Daman Mein Sajaey Phirte Hain Wo Log,

Jin Ko Nisbat Hi Nahi Thi Chaman Se Yaaro...

Pehle Usko Socha Tha Ya Pehle Usko Chaha Tha


Pehle Usko Socha Tha Ya Pehle Usko Chaha Tha,

Aisi Batein Kia Sochein Jab Sub Iqraar Zubani Hoon

Pooch Baitha Hoon Tujh Se Tere Koochey Ka Pata

Pooch Baitha Hoon Tujh Se Tere Koochey Ka Pata ,

Tere HaalAat Ne Kaisi Meri Soorat Ker Di...

BechainJb ker Deti Hain Tanhaeyaan Dil Ki ,

BechainJb ker Deti Hain Tanhaeyaan Dil Ki ,

Dar-o-DEewaar Per Shaklein Bana Ker Dekh Leta Hoon
Poojta Hoon Tujhe Khyalon Mein,

Ker Raha Hoon Mein Bandgi Khamosh

Aoron Ke Pass Ka K Meri DAastan Na Pooch ,

Aoron Ke Pass Ja K Meri DAastan Na Pooch ,

Tu Kuch To Mere Chehrey Pe Likha Hua Bhi Dekh.

Chup chaap apni aag mein jaltey raho FRAZ,

Chup chaap apni aag mein jaltey raho FRAZ,

Duniya to arz-e-haal se beAabroo karey

Zaroori to nahi ki koi gam bhi ho shaamil,

Zaroori to nahi ki koi gam bhi ho shaamil,

haan yoon bhi nikal aate hai aasoon aksar

Saturday 11 August 2012

Wednesday 8 August 2012

Ek Main Hi Nahi Jurm E Muhabbat Ka Khata Waar.

Ek Main Hi Nahi Jurm E Muhabbat Ka Khata Waar...!

Halka Sa Tabassum Bhi Tou Shamil Tha Udhar Say

Yeh thaka thaka sa jo chaand hai

Yeh thaka thaka sa jo chaand hai
Yah tou khawb hai,kisi aankh ka,
Jissay jaagnay ki saza mili,
Yeh jo chaand hai,yeh azaab hai,
Woh azaab,
jis ney mila dia hai gulaab lamhon ko khak mein,
Yeh jo chaand hai,yeh jawaab hai,
Kisi is tarah kay sawaal ka,
Kah jo aaj tak na utha kabhi kisi zahn mein,
Yeh jo chaand hai,
Yeh tou baab hai kisi dard ka,
Kisi hijr ka,kisi wasl ka,
Kisi zard zard si fasl ka,
Yeh takha thaka sa jo chaand hai,
Kabhi ban paray tou yeh is sey pooch k deykhna,
Issay gahri gahri si neend sey,
Bhala kis ney aa kay jaga dia?
Issay rog kis ney laga dia.....?

Mari Zindagi Hai Wo

Mari Zindagi Hai Wo...!!!

Mujhey lagta hai aisa kabhi kabhi
Jaisy woh ajnabi larki
Mujh sey pyar karti hai
Mujhey chahti hai

Akser yunhi chup chup ker
Dekhti hai, janey kiya sooch ker
Nazrein chura jati hai
Kuch ghabra si jati hai

Apney aanchal ko hawaoon k zoor
per lehrati hai
Mehsoos mujhey yeh hota hai k
Shayad mujhey woh bohat chahti hai

Mujhey aisa ehsas dilati hai jesay
Woh mujh sey kuch kehna chahti hai
Meray pochnay per kuch sharma si jati hai
Kuch ghabra si jati hai

Suniyey" keh kar bhaag jati hai
Ajnabi larki shayad pyaar karti hai MIR sey
Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey
Dil bhi kitna pagal hai
Kiya kiya sochta rehta hai

Kuch masoom sey jazbey hain
Kuch undekhey sapney hain
Mager woh nahin janti .!!!
 Meri Zindagi Hai Wo......

Wo Kehti Hai Sitaaray Aansuon Main Kyun Chamaktay Hain.....

Wo Kehti Hai Sitaaray Aansuon Main Kyun Chamaktay Hain.....
Main Kehta Hoon Muhabbat Aansuon Main Rang Bherti Hai !
 Wo Kehti Hai Tumhaaray Baad Baarish Kyun Naheen Hoti....
Main Kehta Hoon Meri Jaan Hijr Sehraaon Main Rehta Hai !
Wo Boli Nain Kuch Kehtay Huay Akser Jhijaktay Hain........
Main Bola Dil Main Baithay Chor Ko Rasta Naheen Milta !
Wo Boli Sardion Main Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi......
Main Bola Tum Nay Meray Lams Ki Shiddat Naheen Dekhi !
Wo Boli Dard Kay Us Paar Bhi Ik Dard Hota Hai........
Main Us Kay Baad Kitnee Deir Tak Kuch Bhi Naheen Bola !

meri hasraton ko zuban de meri wehshaton se kalam kar

meri hasraton ko zuban de
meri wehshaton se kalam kar
mein tera adhora sawal hon
mujhay apne man main qayam kar
mujhay aisa koi jawab de
ke sunay tu bagh-0-bahar ho
meri hasraton kay dayar main
teri arzoo tera pyaar ho
main udasiyon main palee bhari
mujhay mil saki na koi kushi
kahan kho gay kahan dhoondh lon
tujhay ae zindigi meri zindigi..!!

Bayshaq Na Mere Saath Safar Ikhtiyaar Kar

Bayshaq Na Mere Saath Safar Ikhtiyaar Kar
Ae Mere Bad-Gumaan, Mera Aetbaar Kar

Woh Khud Tou Titliyoun Ko Liye Ghoomta Raha
Aur Mujh Ko Khat Mein Likhta Raha, Intezaar Kar

Ab Unn Kay Qafilay Tou Kahien Dour Ja Chukey
Jin Ki Talab Mein Aaye Thay Sehra Guzaar Kar

Mein Ney Tou Tere Hijar Ka Dukh Jhail Hi Liya
Ab Tu Bhi Khud Ko Waqf-e-Raah-e-Intezaar Kar

Kab Ho Saki Hai Inn Ki Samandar Se Doosti
Mitti Kay Inn Gharondoun Pe Kam Inhesaar Kar

Ye wafa ki sakht rahein, ye tumhary pao’n nazuk

Ye wafa ki sakht rahein, ye tumhary pao’n nazuk….

Na lo intiqaam mujh se, mere sath sath chal ke…

Muhabbat Is Tarah Jaise Titliyon K Par

Muhabbat Is Tarah Jaise Titliyon K Par
Muhabbat Zindgani Ki Jabeen-e-Naz Ka Jhoomar,
Muhabbat Aarzoo Ki Seep Ka Anmol Sa Gohar,
Muhabbat Aas Ki Dhoop Mein Umeed Ki Chadar,
Muhabbat Hai Tere Gaisu,
Teri Palkein,
Teri Aankhein,
Muhabbat Hai Teri Baatein,
Muhabbat Hai Tumhari Hijr Ki Aur Wisal Ki Raatein,
Muhabbat Hai Teri Dharkan,
Muhabbat hai Teri Saansein,
Muhabbat Hai Teri Khamoshi,
Tumhari Baat Jaisii Hai,
Muhabbat Ko Aagar Samajho,
Muhabbat Tumhari Zaat Jaisii Haiii..!!!!

Monday 6 August 2012

Badla Na Teray Bad BHI Mozo-E-Guftago,



Badla Na Teray Bad BHI Mozo-E-Guftago,

Tu Ja Chuka Hai Phir BHI Meri Mehfilon Mein Hai

Mohsin Dil-e-Gareeb Ki Veeraniya’n To Daikh,




Mohsin Dil-e-Gareeb Ki Veeraniya’n To Daikh,

Kaisa Nagar Tha Jo Tere Hatho’n Ujar Gaya.

mujhey roz-o-shab ki kitab mein

mujhey roz-o-shab ki kitab mein
koi aisa haraf na mil saka
jise misl-e-gul ka khitaab dun
jise chandni ki si taab dun
jise dhoond ker,jise khoj kar
rukh-e-asmaan pe saja bhi dun
mere khoon-e-dil ki nigarishain
meri ruh tak k fishaar bhi
yahan ilm-o-fan ki dukaan per
barre saste damon se bik gaye
mujhe torr kar,mujhe phorr kar
mere doston ne jala dia
rah-e-zindagi k ghubar main
meri rakh tak ko urra dia
mujhe phir b koi gilla nhi
jo mila nhi,so mila nhi

Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna

Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna
Ab Tou Har Haal Mein Hai Ham Ko Safar Mein Rehna

Dil Ko Har Pal Kisi Jaadu Ke Asar Mein Rehna
Khud Se Niklay Tou Kisi Aur Ke Dar Mein Rehna

Sheher-e-Gham ! Dekh, Teri Aab-o-Hawaa Khushk Na Ho
Raas Aata Hai Ose Deeda-e-Tar Mein Rehna

Faislay Saaray Osi Ke Hain Hamaari Baabat
Ikhtiyaar Apna Bas Itna Ke Khabar Mein Rehna

Tootna Yun Tou Muqaddar Hai Magar Kuch Lamhay
Phool Ki Tarah Mayassar Ho Shajar Mein Rehna

Taayir-e-Jaan Ke Guzarnay Se Badaa Saaneha Hai
Shoq-e-Parwaaz Ka Tootay Howay Par Mein Rehna

Der tak baithe hue dono ne baarish dekhi


Der tak baithe hue dono ne baarish dekhi…
Wo dikhati thi mujhe bijli ke taaron pe latakti hui boondein.
Jo taqub me thi ek dusre ke..
Aur ek dusre ko chhute hi taaro se tapak jati thi..

Mujhko ye fikr ke bijli ka current
chu gaya nangi kisi taar se toh..
aag ke lag jane ka bhayas hoga.

Usne kaagaz ki kai kashtiyaan paani me utaari.
Aur ye keh ke baha di ke..samander me milenge…

Mujhko ye fikr, ke is baar bhi sailab ka paani…
Kud ke utrega kohsahr se jab..
tod ke le jayega ye kachhe kinaare..

Ouk me bharke wo barsaat ka paani…
adhbhari jheelon ko tarsaati rahi..
Wo bohut choti thi, kamsin thi,
woh masoom bohut thi..
Aabisharon ke tarannum pe
kadam rakhti thi…
aur goonjti thi..

Aur main umr ke ifkaar me ghoom…
tajurbe-humraah liye…,
saath hi saath mein
behta hua…chalta hua… behta gaya

Chalo un manzaroon k sath chalty hain

Chalo un manzaroon k sath chalty hain


buhut din ho gay hain wehshatoon ki bheer main ham ko
darkhtoon par hawaain mousamoon key geet gati hain
jahan par chand taroon ko liye mat'ti main utra hy
jahan khamousyoun ko guftougo karny ki aadat hy
jahan sey rasty jaty hain anjani musafat ko
jahan sooraj ki kirnain rat par pehra bithati hain

Cahlo un manzaroon k sath chalty hain


buhut din ho gay hain wehshatoon ki bheer main ham ko
zara in kashtiyon ko ghor sey dykhoo
jo patwaroon ki baNhooN main
samanadar main bichi khamooshyoun ko guftugo ka saaz dyti hain
hamain aawaz dyti hain
udhar dykhoo
parindy badloon k gird urty hian
kinaroon par utarty hain


Cahlo un manzaroon k sath chalty hain


wo dykhoo qafla jata hy kuch naaqa sawaroon ka
musafat dhoop ki hy or safar hy reyzgaroon ka
kabhi jo rat parti hy to ye khymy lagaty hain
kisi ko yaad karny ki tarap main bhool jaty hain
inhi khymoon sy kitni dastanoo ky siry milty howy
naghmoon main dhalty hain



Cahlo un manzaroon k sath chalty hain


kabhi banty bigarty daayroon k darmiyaan dykhoo
shikasta ho gay becheragiky dukh main aainey
tamasha ho gain wiraaniyoon ky raqs main aankhain
yahan to guftugoo k saay bhi khamoosh rehty hain


Cahlo un manzaroon k sath chalty hain

jahan khamousyoun ko guftougo karny ki aadat hy
buhut din ho gay hain wehshatoon ki bheer main ham ko

amar ker lo wo sab lamhey jo ham ne yooN guzaRey haiN







amar ker lo wo sab lamhey
jo ham ne yooN guzaRey haiN
seheR keR lo wo sab rateiN
jahaN apni hi dunya thi
jahaN sanseiN bhi apni theeN
jahaN sapney bhi apney thay


safeR keR lo wo sab rastey
jahaN kuch bhi wafa’eiN haiN
jahaN khushboo hai pyaroN ki
jahan yadeiN haiN yarooN ki

fikeR keR lo zaRa ek pal
ke tum ne kis ko kHoya hai
usey tum dhoondh pao ga’ey
kabhi phiR dekh pao gai

taheR ja’oo jahaN ho tum
k us biN tum adhooRey ho
kabhi phiR mil na pa’oo ga’ey
usey dhoondo ga’ey yadooN meiN
usey is pal bula lo tum
k ye lamhey tumhaRey haiN


Ahmad Faraz's Last Ghazal, Gham e Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi



Gham e Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chalay Aao K Duniya Se Ja Raha Hai Koi

Koi Azal Se Keh Do K Ruk Jaye Do Ghari
Suna Hai Aanay Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

Woh Is Naaz Se Baithay Hain Lash K Paas
Jaisay Roothay Huway Ko Mana Raha Hai Koi

Palat Kar Na Aa Jaye Phir Sans Nabzon Mein
Itnay Haseen Hathon Se Maiyat Saja Raha Hai Koi

Saturday 4 August 2012

Gham Ki Tashreeh Bohat Mushkil Thi,



Gham Ki Tashreeh Bohat Mushkil Thi,

Apni Tasveer Dikha Di Hum Ne....

Muhabbat Main Khasara Kar Liya Hai,



Muhabbat Main Khasara Kar Liya Hai,

Hum Ne Tere Dukh Ko Gawara Kar Liya Hai

Tere Bukhshe Hue Gham Ka Karishma Hai Ke Ab,



Tere Bukhshe Hue Gham Ka Karishma Hai Ke Ab,

Mujhe Har Gham Apne Mayar Se Kam Lagta Hai

Pani Main Aks Dekh Kar Khush Ho Raha Tha Main,




Pani Main Aks Dekh Kar Khush Ho Raha Tha Main,

Pather Kisii Nay Maar Kar Manzar Badal Diyaa

Halaat Ki Ek Zarb Ne Surat Hi Badal Di



Halaat Ki Ek Zarb Ne Surat Hi
Badal Di

Mujh Se Meri Tasveer Zara Bhi Nahi Milti..

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

koi samajhayiye ki kya rang hai maikhane ka



koi samajhayiye ki kya rang hai maikhane ka
aankh saqi ke uthe, nam ho paimane ka

garmi-e-shama ka afasana sunane valo
raqs dekha nahi tum ne abhi paravane ka

chashm-e-saqi mujhe har gam pe yad aati hai
rasta bhool na jaun kaheen maikhane ka

ab to har sham guzarati hai isi kuche mein
ye natija hua naseh tere samajhane ka

ab to har manzil se guzarna to hai aasan
ishq hai nam khud apne se guzar jane ka

Apnay Ehsaas Say Choo Kay Mujhay Sandal Kar Do



Apnay Ehsaas Say Choo Kay Mujhay Sandal Kar Do
Main Sadiyon Say Adhoora Hoon Mujhay Mukkammal Kar Do

Na Tumhay Hosh Rahay Na Mujhay Hosh Rahe
Iss Qadar Toot Kay Chaho Mujhay Pagal Kar Do

Tum Hatheli Ko Meray Pyar Ki Mahndi Say Rango
Apni Aankhon Mein Meray Naam Ka Kajal Kar Do

Is Ke Saye Tallay Mere Khwaab Dhakk Uthain Ge
Mere Chehray Pe Chamkta Hua Anchal Kar Do

Dhoop he Dhoop Hoon Main Toot Ke Barso Mujh Per
Is Kader Barso Merii Rooh Main Jal Thal Kar Do

Jaise Sehrahoon Main Her Shaam Hawa Chalti Hai
Is Tarah Mujh Main challo Aur Mujhe Thall Kar Do

Tum Chuppa Lo Mera Dil Oat Main Apne Dil Ki
Aur Mujhe Meri Nighaoon Se Bhi Ojhall Kar Do

Maslaa Hoon Toh Nighain Na Churao Mujh Se
Apni Chahat Se Tawajjah Se Mujhe Hall Kar Do

Apny Saman Main Meri Aankhen



Jaa Rhy Ho To Sath Ly Jao......!!!


Apny Saman Main Meri
Aankhen

Tujh Ko Khabar Nahin Magar Ik Sadaa Sun Le,



Tujh Ko Khabar Nahin Magar Ik Sadaa Sun Le,

Barbaad KAr Diya Teray Do Din Kay Piyaar Ne

Kabhi yun bhi to ho dariya ka sahil ho pure chand ke raat ho aur tum aao




Kabhi yun bhi to ho
dariya ka sahil ho
pure chand ke raat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
pariyon ke mahafil ho
koi tumhari baat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
ye narm mulayam thandi havayen
jab ghar se tumhare guzaren
tumhari khushbu churayen
mere ghar le aayen
kabhi yun bhi to ho
suni har manzil ho
koi na mere sath ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
ye badal aisa toot ke barase
mere dil ke tarah milane ko
tumhara dil bhi tarase
tum nikalo ghar se
kabhi yun bhi to ho
tanahai ho, dil ho
bunden ho, barsat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho

Dukh Dard Kay Maroon Say Mera Zikar Na Karna



Dukh Dard Kay Maroon Say Mera Zikar Na Karna
Ghar Jaon To Yaroon Say Mera Zikar Na Karna

Woh Zabt Na Kar Paen Gay Ankho Kay Samander
Tum Rah Guzaroon Say Mera Zikar Na Karna

Pholon Kay Nashaiman May Raha Hoon May Sada Say
Daikho Kabhi Kharon Say Mera Zikar Na Karna

Woh Meray Hal May Bay Sakhta Na Ro Dain
Is Bar Bharoon Say Mera Zikar Na Karna

Shayad Yai Andhaira Hi Mujhay Rah Dikhay
Tum Chand Sitaroon Say Mera Zikar Na Karna

Kaheen Woh Meri Kahani Ko Ghalt Rang Na Dai Dain
Afsana Nigaroon Say Mera Zikar Na Karna

Gehrahi May Layjain Gay Tum Ko Bhi Baha Ker
Darya Kay Kinaroon Say Mera Zikar Na Karna

Woh Shaks Melay To Usay Her Bat Batana
Tum Sirf Isharoon Say Mera Zikar Na Karna

MeRe ChEhReY Pe GhAzaL LiKhTi GaYin_


MeRe ChEhReY Pe GhAzaL LiKhTi
GaYin_

ShAiRy KeHti Hui AaNkHiEn Uski.......

Goongi Ho Gai Aaj kuch Zuban kehty kehty,



Goongi Ho Gai Aaj kuch Zuban kehty kehty,
Hichkicha Gya Main khud ko Musalman kehty kehty,

Ye baat Nahi k Mujh ko us Par yaqeen Nahi,
Bas Dar Gya khud ko saheb-e-Imaan kehty kehty,

Toufeeq Na hoi Mujhy Ek waqt ki Namaz ki,
Aur Chup Huwa Moazan Aazaan kehty kehty,

Kisi kafir Ne jo Poocha k ye kya Hay Maheena,
Sharam se pani pani huwa Main Ramzan kehty kehty,

Mere SHELF Main Gard se Atki kitaab ka Jo Poocha,
Main GarR Gaya Zameen Main Quran kehty kehty,

Ye sun k Chup saadh Li "IQBAL" Us Ne,
Yun laga jaise ruk gaya ho mujhy Haiwaan kehty kehty

Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye



Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye

Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye

Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka
Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye

Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye

Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye

Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye

Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad
Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye

Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye

Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa
Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye

Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Na Parwah Mujhko Us Ki Na Usay Meri Zarorat



Na Parwah Mujhko Us Ki Na Usay
Meri Zarorat

Main Gali Ka Ek Ghunda Aur Wo
Pardadar Larki :)

Kahoo To Lout Jatay Hain



Kaho To Laut Jate Hain
Abhi To Baat Lamhon Tak He, Saalon Tak Nahi Aai
Abhi Muskaanon Ki Nobat Bhi Naalon Tak Nahi Aai
Abhi To Koi Majborri Khiyaalon Tak Nahi Aai
Abhi To Gard Peroon Tak Hay. Baalon Tak Nahi Aai


Kaho To Laut Jate Hain
Chalo Ek Faisla Karne Shajar Ki Aut Jate Hain
Abhi Kajil Ki Dori, Surkh Galon Tak Nahi Aai
Zubaan Datoon Talak Hai Zehr Piyaalon Tak Naheen Aai
Ibhi To Mushk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai
Ibhi Rodad-E-Beunwaan Humaray Darmian He, Duniyan Waaloon Tak Nahin Aai
Kaho To Lout Jatan Hain

Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han
Abhi Nazdeek Hein Ghar Aur Manzil Door He Apni
Mubada Naar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni

Kaho To Lout Jatay Han
Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Ye Rasta Piyar Ka Rasta,
Rasan Ka Daar Ka Rasta,
Bohat Dushwar He Jaana
Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana.

Kaho To Lout Jatay Hain

Maray Baray Na Kuch Socho
Mujhay Tay Karna Ata He
Rasan Ka Daar Ka Rasta
Ye Asaiboon Bhara Rasta
Ye Andhi Ghaar Ka Rasta

Tumhary Gaisoowun Ki Chaoon Mil Jayay
To Suraj Se Ulajhna Baat He Kia He
Utha Lo Apna Saya To Meri Ouqat Hi Kia He
Tumhara Narm O Nazuk Hath Ho Gr Mere Haathon Me
To Me Ye Samjho Ga
Ke Jasay Do Jahan Ho Mari Muthi Me
Tumhara Kurb Ho To Mushkilan Kafoor Ho JaYen
Ye Undhay Ur Kalay Rastay Pur Noor Ho JaYan.

Mujhe Maloom Hei Itna Keh Dayem Zandagi Posheeda He In Char Kadmoon Me
Bohat Si Ra-Hatan Muzmir Hain In Dushwar Rastoon Man
Meray Baray Na Kuch Socho
Tum Apni Bat Batlaoo
Kahoo To Chaltay Rahtay Hain…

Kahoo To Lout Jatay Hain……

Bo Kr Zameen-E-Dil Main, Teri Aarzo K Beej,



Bo Kr Zameen-E-Dil Main,
Teri Aarzo K Beej,

Betha Hun Main Ghareeb,
Zameendar Ki Tarha

Mujhe Tum Nazar Se Gira To Rahe Ho


Mujhe Tum Nazar Se Gira To Rahe Ho
Mujhe Tum Kabhi Bhi Bhula Na Sakoge
Na Jaane Mujhe Kyoon Yakin Ho Chala Hai
Mere Pyaar Ko Tum Mitaa Na Sakoge
Meri Yaad Hogi Jidhar Jaaoge Tum
Kabhi Nagma Banke Kabhi Banke Aansoo
Kabhi Nagma Banke Kabhi Banke Aansoo
Tadapta Mujhe Har Taraf Paaoge Tum
Shama Jo Jalaayi Hai Meri Wafa Ne
Bujhaana Bhi Chaaho Bujha Na Sakoge
Kabhi Naam Baaton Mein Aaya Jo Mera
To Bechain Ho Hoke Dil Thaam Loge
To Bechain Ho Hoke Dil Thaam Loge
Nigahon Mein Chaayega Gham Ka Andhera
Kisi Ne Jo Poocha Sabab-A-Suboon Ka
Bataana Bhi Chaaho Bata Na Sakoge

Kasam Tootay Hovay Dil ki Tumhain Khud se Juda ker k,


Kasam Tootay Hovay Dil ki Tumhain Khud se Juda ker k,

Jahan Tak Hum ne Daikha hay Wahaaan tak Tum Nazer Aaye…

Idhar Hum Hichki Lete Hain, Udhar Tum Rone Lagte Ho.



Agar Chup Chaap Tum Dekho To Dam Aaram Se Nikle,

Idhar Hum Hichki Lete Hain, Udhar Tum Rone Lagte Ho.

idraak par muheet hai arz-o-samaa ka dukh



idraak par muheet hai arz-o-samaa ka dukh
iss sy pary bhi, jo hy, wo hy maavraa ka dukh

dil ne kaha, na dekh soo-e-aasma’N, keh yun
barhta hy na rasai-e-dast-e-dua ka dukh

dil mein ab aur kya hy, jisy dhoondti hy khalq
kafi hy zindagi ko, shikast-e-anaa ka dukh

sun lo musafaraan-e-biabaan-e-sham-e-gham
bakhshy ga ibtada ka safar, intaha ka dukh

kion inn dino’N sawar hy do kashtio’N pe dil
chahat ik ajnabi ke, to ik aashnaa ka dukh

MOHSIN khiza’N ka naam, badal kar likho issy
nayabi-e-nuqoosh-e-kharaam-e-saba ka dukh

Tere wajood se inkaar karnay wala tha

Tere wajood se inkaar karnay wala tha
nazr na aata to main bhi mukrnay wala tha

mera hi naam na tha subhh ki faseelooN per
diyaar e shab se main tanha guzrnay wala tha

abhi se toR gaya silsila jarahat ka
abhi to zakhm e shanasaai bhrnay wala tha

jo dhoop cunta phira dupehr ki galiyooN se
wo shakhs apnay hi saaye se Darrny wala tha

kissay batain faraib e talab main kaar e junooN
chalay thy jis pe wo rsta bikhrnay wala tha

main saamnay ke hawaooN ko rook leta magr
mery aqab main jo dushman tha marnay wala tha

guzishata raat wo habs e teergi thi Saleem
ke jaisay koi saheefa utrnay wala tha

Yaar Bhi Rastay Ki Deewaar Samajhtay Hain Mujhe,

Yaar Bhi Rastay Ki Deewaar Samajhtay Hain Mujhe,

Main Samajhta Tha K Yaar Samajhtay Hain Mujhe....

Chaha Hai Jabse Tumko Bas Itna Sa Gham Hai,

 

Chaha Hai Jabse Tumko Bas Itna Sa Gham Hai,

Hai Pyar Mera Zayada Par Umar Bohot Kam Hai

Tu Na Aaya MAgar Tere Intezar Main,






Tu Na Aaya MAgar Tere Intezar Main,

Ik Mout aa Gayi Wada Kiye Beghair

Thursday 2 August 2012

Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein

Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein
Main Bola, Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai
Woh Boli, Aarzuein Dil Ke Andsar Been Karti Hain
Main Bola, Theek Hai Mujh Ko Sunayi Dete Hain
Woh Boli, Hum To Jaise Eik Musalsal Dukh Ke Qaidi Hain
Main Bola, Theek Hai Yeh Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai
Woh Boli, Koi Shab To Khwab Mein Bhi Khwab Aate Hain
Main Bola, Theek Hai Kuch Hasratein Aise Bhi Karti Hain
Woh Boli, Baarishon Mein Aur Zyada Jaan Sulagti Hai
Main Bola, Theek Hai Yeh Aag Paani Ke Masail Hain
Woh Boli, Raat Kyun Mushkil Se Kat'ti Hai Judai Mein
Main Bola, Waqt To Kaifyaton Ka Naam Hota Hai
Woh Boli, Chahaton Mein Dard Ke Rehne Ki Khwaish Kyun
Main Bola, Dard Ke Maare Huon Ko Chain Milta Hai
Woh Boli, Rooh Ki Aasodgi Ko Kya Zaroori Hai
Main Bola, Rooh Ko Aalodgi Achi Nahin Lagti
Woh Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kya Kahani Hai
Main Bola, Aadam-o-Hawa Kki Chahat Ki Nishaani Hai
Woh Boli, Be-Saropa Khwaishein Beemar Rakhti Hain
Main Bola, Aadmi Andoa Ke Batin Se Nikla Hai
Woh Boli, Door Reh Ker Dard Barh Jata Hai Seene Mein
Main Bola, Qurbatein Bhi Hijar Ke Khudshe Barhaati Hain
Woh Boli, Shaam Hote Hi Udaasi Phail Jaati Hai
Main Bola, Raat Bhi To Aansuon Se Ishq Karti Hai
Woh Boli, Zindagi Mein Tu Nahi To Zindagi Kab Hai
Main Bola, Har Taraf Ik La-Ubali Maut Hadwi Hai
Woh Boli, Ishq Ka Apna Ilehda Rang Hota Hai
Main Bola, Rang Ka Apna Ilehda Ishq Hota HAi
Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Wajah Sa Khauf Rehta Hai
Main Bola, Ishq To Be-Baak Logon Ka Hi Shewa Hai
Mohabbat Eik Pal Bhi Sukh Nahi Deti, Kaha Us Ne
Kaha MAin Ne, Mohabbat Ke Ilawa Kaun Sa Sukh Hai
Mohabbat Shehar Bhar Mein Goonj Jaati Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Ke Chupa Rehne Ki Khwaish Kiya
Mohabbat Chup Nahi Rehti Kisi Pal Bhi, Kaha Us Nne
Kaha Mmain Ne, Mohabbat Bin To Kayinaat Goongi Hai
Mohabbat Zehan Ka Ik Khaas Aalim Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Rooh Ki Dehleez Hoti Hai
Mohabbat Be-Sabab Tarpaye Rakhti Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne Ke Yeh Asbaab Kya Shai Hai Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai Sitaare Aansuon Mmein Kyun Chamakte Hain
Main Kehta Hoon Mohabbat Roshni Mein Rang Bharti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa Ke Haath Mein Kya Kya Nahi Aata
Main Kehta Hoon, Jo Dehleezon Ke Andar Dafan Hota Hai
Woh Kehti Hai, amaane Ko Dilon Se Ranj Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Yeh Aazar To Sadiyon Ki Qismat Hai
Woh Kehti Hai, Tumhaare Baad Kyun Baarish Nahi Hoti
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Hijar Sehraon Mein Rehta Hai
Woh Kehti Hai, Ke Khushiyon Mein Bhi Tum To Rone Lagte Ho
Main Kehta Hoon, Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai
Woh Boli, Tum Bhi Farhat Zindagi Se Rooth Jao Ge
Main Bola, Han, Shayed Mmaut Mujh Se Maan Jaye Gi
Woh Boli, Tum Khushi Ke Geet Ko Mayoos Karte Ho
Main Bola, Kya Karoon In Mukhtasar Geeton Ka Mausam Hai
Woh Boli, Tum To Farhat Khud Hi Khud Se Haar Jaate Ho
Main Bola, Kya Karoon Kamzor Hoon Aur Be-Sahara Hoon
Woh Boli, Kya Yeh Sab Kuch Itefaqan Hai Tumhara Gham
Main Bola, Yeh Bhi Mumkin Hai Yeh Sab Ehtaraman Ho
Mohabbat Mein Ghamon Ki Is Kadar Yalghar Kyun,.. Boli
Main Bola, Tum Kisi Din Yeh To Apne Aap Se Poocho
Woh Kehti Hai , Suno Farhat! Tumhara Khwab Kyun Toota
Main Kehta Hoon, Sarabi! Dil Mein Koi Kheench Parhti Thi
Tumhari Shairy Mein Zindagi Ki Siskiyan Kyun Hain
Main Bola, Aansuon Ki Ibtadayi Shakal Joh Thehri
Woh Kehti Hai Ke Farhat Shah Main Kuch Muztarib Si Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Tum To Meri Rooh Jaisi Ho
Woh Kehti Hai, Tumein Kyun Khauf Aata Hai Hawaon Se
Main Kehta Hoon, Sarabi! Deep To Aise Hi Hote Hain
Woh Kehti Hai, Chalo Farhat! Hawa Ke Saath Chalte Hain
Main Khamoshi Se Us Ke Saath Chal Deta Hoon Bujhne Ko
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Gayab Ho Sadiyon Se
Main Kehta Hoon, Hazaron Wasooson Ke Darmiyaan Gum Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Bechainiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Mein Hoti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khauf Ka Doraniya Kya Hai
Main Kehta Hoon, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badlon Ki Umr Kitni Hai
Main Kehta Hoon, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai
Woh Mujhse Poochti Hai, Raat Itni Be-zuban Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Zuban To Dard Ki Shiddat Se Hoti Hai
Woh Kehti Hai, Yeh Khamoshi Bhi Kuch To Sochti Hogi
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Ghuftugo Ki Bheer Mein Kho Jaye
Woh Kehti Hai, Ke Farhat Kuch Dinon Se Bolte Kam Ho
Main Kehta Hoon, Kayi Dukh Bolne Se Rok Dete Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Yeh Soch Ker Batla Main Kaisi Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Sochne Mein Waqt Lagta Hai
Main Kehta Hoon, Tumhein Darya Kinare Kaise Lagte Hein
Woh Kehti Hai Tumhein Bichare Sahare Kaise Lagte Hein
Main Kehta Hoon, Mujhe Tum Hansti Gaati Achi Lagti Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Dard Se Darne Lage Ho Kya
Woh Boli, Raat Se Kya Baat Karte Ho Akele Mein
Main Bola, Dard Ki, Kuch Kuch Mohabbat Ki, Judai Ki
Woh Boli, Chand Kya Aata Hai Tum Se Chonchlein Karne
Main Bola, Haan Kabhi Sapnon Ke Aangan Mein Utarta Hai
Woh Boli, Kaun Aksar Yaad Aata Hai Udaasi Mein
Main Bola, Kuch Puraane Raaste, Bachpan Aur Ik Larki
Woh Boli, Dard Ki Jaziyaat Mein Parne Se Kya Behtar
Main Bola, Dard Ko Khush Khush Sahein Aur Kooch Kar Jayein
Woh Boli, Zindagi To Dairon Ke Phailne Se Hai
Main Bola, Maut Bhi Ik Daira Hai Door Tak Phaila
Woh Boli, Rooh Ke Andar Kahin Per Aag Jalti Hai
Main Bola, Haan Dhuan Main Ne Bhi Dekha Hai Nigahon Mein
Woh Boli, Ik Dahekta Shor Sharyanon Mein Behta Hai
Main Bola, Haan Badan Per Aabley Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Saans Per Bhi Dard Ke Korhay Baraste Hein
Main Bola, Haan Lahoo Per Neel To Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Zaat Ki Teh Mein Na Jaane Kya Nahan Hoga
Main Bola, Jism Per Ubhri Waredon Se Bhi Zahir Hai
Woh Boli, Daq Zada Jeevan Chupati Phir Rahi Hoon
Main Bola, Nakhunon Ki Zardiyon Ne Ker Diya Aryan
Woh Kehti Hai, Teri Jaibon Mein Itne Khwab Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Mein Mujhe Zinda Bhi Rehna Hai
Woh Kehti Hai, Tere Kalar Pe Mitti Ka Nishaan Kaise
Main Kehta Hoon Ke Majboori Alamat Chor Jati Hai
Woh Kehti Hai, Teri Aawaz Mein Masoomiyat Si Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Mazloomiyat Ke Baad Aati Hai
Woh Kehti Hai, Tere Chehre Pe Karb Be-Karan Kaisa
Main Bola, Dil Ne Chehre Per Zara Sa Rang Chora Hai
Woh Kehti Hai, Tere Haathon Pe Zakhmon Ke Manazir Kyun
Main Kehta Hoon Ke Kuch Zevar Bare Anmol Hote Hain
Woh Boli, Umar Beeti Koi Bhi Milne Nahi Aaya
Main Bola, Umar Se Pooch Ke Aakhir Umar Kyun Beeti
Woh Boli, Husn Dhalne Ke Liye Hota Hai, Lagta Hai
Main Bola, Husn Ho, Ya Bakht Ho, Ya Chand Sooraj Hon
Woh Ab To Zulfon Mein Bhi Chandi Si Sarak Aayi
Main Bola, Rooh Tak Main Bhi Dararhein Parh Gayi Hongi
Woh Boli, Haath Dekho Be-Iradah Hi Larazte Hain
Main Bola, Haath Dikhlao To Phir Dekho Bhi Himmat Se
Woh Boli, Zindagi Ka Aakhri Kardaar Hairat Hai
Main Bola, Maut Se Pehle Koi Ghar Baar Hairat Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badalon Ko Kab Bulao Ge
Main Kehta Hoon, Tumhein Jab Dhoop Ka Mausam Sataye Ga
Woh Mujh Se Poochti Hai, Panchiyon Se Aashnayi Hai
Main Kehta Hoon Ke Ashkon Ke Qataron Se Bhi Waqif Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Buniyaad Mein Kya Hai
Main Kehta Hoon, Kisi Jangal Ka Qatal Aam Hai Shayed
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Samandar Mein Kabhi Utre
Main Bola, Ik Samandar Doosre Mein Kis Liye Utre
Woh Kehti Hai, Mujhe Mayoosiyan Rasta Nahi Deteen
Main Kehta Hoon NKe yeh Mayoosiyan Taqat Bhi Hoti Hain
Woh Kehti Hai, Bohat Tanha Hoon Main Is Puri Dooniyan Mein
Main Kehta Hoon Ke yeh Ehsaas To Ho Ga KHUDA Ko Bhi
Woh Kehti Hai Ke Mujh Per Shehar Ke Wehshi Lapakte Hain
Main Kehta Hoon Ke Tum Kardaar Ko Seena Sapar Ker Lo
Woh Kehti Hai, Hajoom Badrosh Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Mujhe Ujri Hui Galiyan Darati Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Be-Has Zamaane Se Shikayat Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Shikwa Shikayat Rayigaan Hai Sab
Woh Boli, Tum Kahan Gayab Rehte Ho Raaton Ko
Main Bola, Main To Bas Aawara Phirta Hoon Udaasi Mein
Woh Boli, Phone Bhi Aksar Bohat Angej Rakhte Ho
Main Bola, Be Saropa Ghantiyon Se Khauf Aata Hai
Woh Boli, Tum Bohat Kanjoos Ho Khat Bhi Nahi Likhte
Main Bola, Khat Likhoon To Shairy Naraaz Hoti Hai
Woh Boli, Tum Kabhi Milne Chale Aao Jo Mumkin Ho
Main Bola, Yeh To Tum Ne Mere Dil Ki Baat Keh Di Hai
Woh Boli, Aaj Mausam Mein Ajab Si Khushgawari Hai
Main Bola, Han Yeh Mausam Pyaar Se Milne Ka Mausam Hai
Woh Kehti Hai Ke Ab Aawargi Se Kuch Nahi Haasil
Mujhe Hairat Hai Yeh Sab Kuch Woh Mujh Badal Se Kehti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa To Banjh Pan Taqseem Karti Hai
Main Kehta Hoon, Magar Dharti Hawa KE bAS Se Bahir Hai
Woh Kehti Hai, Shabein Dhoke Mein Rakhti Hain Hamesha Hi
Main Kehta Hoon, Kahin Yeh To Nahi Dhoka Dinon Mein Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe To Zindagi Se Eik Shikwa Hai
Hamesha Sailon Ko Maut Ke Saye Mein Rakhti Hai
Woh Kehti Hai, KHUDA Milta To Us Se Baat Karti Main
Main Kehta Hoon, Magar Main To Khamoshi Bant'ta Rehta
Woh Kehti Hai Ke Farhat Be-Zarar Rehna Nahi Acha
Main Kehta Hoon, Kayi Achaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Meri Yaadon Se Kyunkar Door Rehte Ho
Main Kehta Hoon, Teri Parchaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Tumhari Kuch Dua Bhi To Koi Ho Gi
Main Kehta Hoon, Jahan Tum Ho Yeh Raatein Bhi Wahin Hoteen
Ajab Ik Ma'noiyat Si Palat Aati Nazaron Mein
Tumhein Hum Dekhte Bhi Aur Baatein Bhi Wahin Hoteen
Sitaare Dekhne Aate Mujhe Teri Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai, Sitaare Aur Sapne Jhoot Hote Hain
Woh Kehti Hai Ke Ab Roun To Aansoo Chubhne Lagte Hain
Main Kehta Hoon, Kisi Shayar Se Aankhein Maang Sakti Ho
Woh Boli, Aas Ki Faslein Kayi Beemar Hain Dil Mein
Main Bola, Jis Tarah Mumkin Ho Sawal Ko Bula Lao
Woh Boli, Main Adhoore Qaidiyon Ki Sif Mein Shamil Hoon
Main Bola, Is Ka Matlab Hai Ke Aazadi Nahi Mumkin
Woh Boli, Kuch Likhoon To Ungliyon Se Khoon Rasta Hai
Main Bola, Main To Aise Mein Bhi Apne Dil Se Likhta Hoon
Woh Boli, Dard Ne Asab Ko Murda Bana Daala
Main Bola, Ishq Ki Bechainiyon Se Zindagi Ker Lo
Woh Kehti Hai, Agar Sab Raaste Masdwa Ho JAyein
Main Kehta Hoon, To Phri Aap Tak Mehdood Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Be-Chainiyan Be-Sod Ho Jayein
Main Kehta HOON, Fana Fi Alnar Hasat o Bod Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Veraniyan Raste Mein Aa Jayein
Main Kehta Hoon, Hazaron Gham Bohat Saste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Tumhein Takhti Pe Apne Harf Likh Doon To
Main Kehta Hoon, Teri Baatein Mere Baste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Balayein Jab Bhi Mera Naam Leti Hain
Main Kehta Hoon, Tujhe Meri Duayein Thaam Leti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Mujh Se Baatein Kyun Nahi Karte
Main Kehta Hoon, Abhi To Dekhne Ki Manzilon Per Hoon
Woh Mmujh Se Poochti Hai, Shaam Kya Veraan Hoti Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Hijar Ki Pehchaan Hoti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Ratjaon Ka Rang Kaisa Hai
Main Kehta Hoon Ke Jaise Jaagne Wale Ki Aankhon Ka
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hijar Ki Qismein Bhi Hoti Hain
Main Kehta Hoon, Jitne Wasl Utne Hi Hijar Hote Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Pyaar Ka Matlab Batao Ge
Main Kehta Hoon Ke Har Ik Baat Ka Matlab Nahi Hota
Woh Boli, Raaste Mein Dard Ke Kitne Samandar Hain
Main Bola, Aahkri Jo Zabt Se Bahir Nikal Aaye
Woh Boli, Ab To Mujh Mein Zabt Ka Yara Nahi Baaqi
Main Bola, Doobne Ko Phir To Tum Tayar Ho Jjao
Woh Boli, Kayinaatein Is Qadar Simti Hui Hain Kyun
Main Bola, Is Qadar Wasa't Kahan Se Aayi Hai Tum Mein
Woh Boli, Be Saropa Zindagi Se Kya Hua Hasil
Main Bola, Kuch Bhi Ho, Kuch Bhi Na Ho Aakhir Ajal To Hai
Mohabbat Mein Safar Kitna Zaroori Hai, Woh Kehti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mein Kahin Thehra Nahi Jaata
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aashiyane Jal GAye Honge
Main Kehta Hoon Ke Shayed Itefaqan Bach Gaye Honge
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Phir Goli CHali Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Han, Kuch Mayatein Ayi Hain Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Bhi Kuch Bomb Phatte Honge
Mmain Kehta Hoon, Koi Kehraam To Barpa Tha Sarhkon Per
Woh mujh Se Poochti Hai, Phir Adalat Mar Gayi Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Mujrim To Bazaat Khud Hi Munsif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baadshah-e-Waqt Kaisa Hai
Main Kehta Hoon, Bohat Mutemayin Rehta Hai Bechara
Woh Kehti Hai, Hawayein Raat Se Aangan Mein Bethi Hain
Main Kehta Hoon, Ghutan Apna Asar Dikhla Ke Chore Gi
Woh Kehti Hai, Khamoshi Farsh Per Saye Banati HAi
Mein Kehta Hoon, Udaasi Weham Banti Ja Rahi Ho Gi
Woh Kehti Hai Ke Parchayein Bhi Ab Humzaad Lagti Hai
Main Kehta Hoon Ke Tanhai Ne Pagal Ker Diya Ho Ga
Woh Kehti Hai, Meri Chat Per Hayole Raqs Karte Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Wasoosoon Ne Bhes Badla Hai
Woh Kehti Hai, Koi Rota Hai Galiyon Ke Andheron Mein
Main Kehta Hoon, Judai Phir Rahi Ho Gi Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Kuch Hairaan Lagte Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hai Mutmayin Dekha
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Itne Mutmayin Kyun Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hairaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Muztarab Se Lag Rahe Ho Kuch
Main Kehta Hoon Ke Dil Mein Ishq Ka Mehmaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Pareshani Hai Farhat Jee
Main Kehta Hoon Ke Saare Shehar Ko Veraan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badshagooni Ka Sabab Kya Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Zindagani Ka Adab Kya Hai
Woh Boli, Aa Tujhe Main Raakh Ki Taseer Batlaon
Main Bola, Raakh Ko Kya Raakh Ke Baare Batao Gi
Woh Boli, Aa Tujhe Main Dasht Ke Ma'ni Batati Hoon
Main Bola, Aa Tujhe Apne Dil Mein Le Ke Chalta Hoon
Woh Boli, Aa Tujhe Main Zindagi Ki Fikar Samjhaon
Main Bola, Maut Ke Maare Hue Ko Khoob Samjhao
Woh Boli, Aa Tujhe Main Hijar Ka Mara Dikhati Hoon
Main Bola, Han Mujhe Tum Le CHalo Mere Hi Kamre Mein
Woh Kehti Hai, Ghubaar-e-Waqt Mein Dhundla Gaya Jeevan
Main Kehta Hoon, Palat Ker Dekhna Takleef Deta Hai
Woh Kehti Hai Ke Tum Mujh Ko Pukara Hi Nahi Karte
Main Bola, Kya Karoon Koi Gawara Hi Nahi Karta
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Mujhe Tum Yaad Karte Ho
Main Kehta Hoon Ke Jaane-Mann Tumhein Main Bhoolta Kab Hoon
Woh Kehti Hai Ke Ab To Rayigaan Lagta Hai Sara Kuch
Main Kehta Hoon, Mujhe To Rayigaani Ka Bho Dhoka Hai
Woh Kehti Hai, TAmanayein Salamat Hi Nahi Ab To
Main Kehta Hoon Ke Jeevan Mein Yeh Thehrao Bhi Aata Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shorq, Chashm Tamasha Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Shorq Alam Ka Hissa Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baiat-e-Sultaan- e-Gham Kyunkar
Main Kehta Hoon Ke Yeh Aadab Hain Rasm-e-Mohabbat Ke
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jabar Per Sabar Masalsal Kyun
Main Kehta Hoon Ke Jab Tak JAng Ki Soorat Nahi Milti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Alam-e-Bala Kahan Per Hai
Main Kehta Hoon, Hamari Fikar Ki Balayi Manzil Per
Woh Mujh Se Poochti Hhai, Sab Qayam-o-Nazam Kaise Hain
Main Kehta Hoon, Koi To Hai Jise Sab Theek Rakhna Hai
Woh Kehti Hai, Main Rizq Khaak Be-Ma'ni Hoon Duniya Mein
Main Kehta Hoon KE yEH Sara Nizaam-e-Aadmiyat Hai
Woh Kehti Hai, Main Ajz-e-Fitrat- e-Konain Hoon Janan
Main Kehta Hoon, Mujhe Maloom Hai Aye Azmat-e-Khaaki
Woh Kehti Hai, Main Khwab-e-Noor- e-Batin Hoon Sahifon Mein
Main Kehta Hoon, Kise Inkaar Hai Aye Khwaish-e-Yazdan
Woh Kehti Hai, Main Husn-e-Narmi Ehsaas Hoon Farhat
Main Kehta Hoon Ke Main To Khud Gawah-e-Lams- e-Shabnam Hoon
Woh Kehti Hai Ke Main Khushboo-e-Itr- e-Surkhi- e-Subah Hoon
Hawas Khamsa Alim Mujhe Mehsoos Karte Hain
Wwoh Boli, Main Aseer-e-Hijrat Hoon Zamanon Se
Main Bola, Be-Thikana Pan To Sadiyon Ka Asasa Hai
Woh Boli, Main Gul-e-Shaakh- e-Gham-e- Tanhai Hoon Farhat
Main Bola, Main Mazar-e-Hijar Hoon Wehshat Ke Narghe Mein
Woh Boli, Main Mata-e-Ghair Hoon Tere Liye Farhat
Main Bola, Han Yeh Sadiyon Se Mohabbat Ka Vateera Hai
Woh Boli, Main Dar-e-Iwaan- e-Hairan Hoon Zamane Mein
Main Bola Main Musafir Hoon, Main Bola Main Musafir Hoon
Woh Boli, Main Talooh-e-Aaftaab Husan Ka Manzar
Main Bola, Han Agar Main Chashm-e-Benaye Tamanna Hoon
Woh Kehti Hai, Andhere Raaston Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Abhi To Qabar Bhi Aani Hai Raste Mein
Woh Kehti Hai, Zamane Ka Rawaiya Dil Mein Chubhta Hai
Main Kehta Hoon Ke Achi Baat Hai Tum Mukhtalif To Ho
Woh Kehti Hai Ke Jaane Kyun Khamoshi Bhi Khatakti Hai
Main Kehta Hoon Ke Mumkin Hai Tumhein Kehna Ho Kuch Us Ne
Woh Kehti Hai, Samandar Sa Koi Rehta Hai Aankhon Mein
Main Kehta Hoon, Kabhi Mere Bhi Dil Mein Jhaank Ker Dekho
Woh Kehti Hai, Mujhe Sahil Se Nafrat Hai Museebat Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Buzdali Hai Rayigaani Ki
Woh Boli, Baarishon Se Mustaqil Jhagre SE Kya Hasil
Maon Bola, Baarishon Se Hat Ta'luq Teri Khatir Hai
Woh Boli, Main Majboor Hoon Jeevan Ke Changal Mein
Main Us Ke Jhoot Per Bola, KHUDA Ka Reham Ho Tum Per
Woh Boli, Ishq Hai To Ishq Mein Milna Milana Kya
Main Bola, Ishq Ka Apna Nizaam-e-Wasl Hota Hai
Woh Boli, Dooriyan To Kuch Mohabbat Kam Nahi Karteen
Maon Bola, Han Magar Milne Ki Khwaish Ko Barhaati Hain
Woh Boli, Saath Bandh Jaane Se Behtar Hai Bichar Jayein
Main Us Ki Baat Per Dukh Se Hansa Aur Kuch Nahi Bola
Woh Kehti Hai, Safar Mein Kyun Sitaare Saath CHalte Hain
Main Bola, Jis Tarah Darya Kinaare Saath Chalte Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Chand Ki Basti Kahan Per Hai
Main Us Ki Baat Per Us Ehad Mein Hairaan Hota Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Sooraj Mein Sulagta Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aur Dil Ko Thaam Leti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Rooh Ki Larzish Ke Baare Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Be-Qarari Raqa Karti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Almiya Kya Cheez Hoti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Aur Nafrat Zindagi Aur Maut Hai Shayed
Woh Boli, Sawanon Mein Ab Woh Pehle Rang Kam Kam Hain
Main Bola, Ab Piya Bhi To Sukhi Ke Sang Kam Kam Hain
Woh Boli, Nain Kuch Kehte Hue Aksar Jhijhakte Hain
Main Bola, Dil Mein Bethe Chor Ko Rasta Nahi Milta
Woh Kehti Hai Ke Jhanjhar Ab Tumhein Mayil Nahi Karti
Main Kehta Hoon, Tumhein Ab Zindagi Qayil Nahi Karti
Woh Kehti Hai Ke Peele Phool Bhi Khushboo Nahi Dete
Main Kehta Hoon, Judai Theek Se Chubhti Nahi Dil Mein
Wo Kehti Hai, Mohabbat Hadson Ke Kheench Laati Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mo'jzon Ko Shakal Deti Hai
Woh Kehti Hai, Hawayein Pairh Se Manoos Hoti Hain
Main Kehta Hoon Ke Un Ke Darmiyan Rishta Purana Hai
Woh Kehti Hai, Sadayein Parbaton Se Laut Aati Hain
Main Kehta Hoon Un Ke Un Se Tukrana Nahi Aata
Woh Kehti Hai, Fizayein Husn Se Aabad Rehti Hain
Main Kehta Hoon, Agar Is Husn Ki Taqdees Baaqi Ho
Woh Kehti Hai, Wafayein Shehar Se Bezaar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Itne Chup Dar-o-Deewar Kyunkar Hain
Woh Kehti Hai, Ghatayein Dasht Ke Is Paar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Pyaas Ki Apni Karamat Hai
Woh Boli, Aasmanon Ki Taraf Nazrein Nahi Uthteen
Main Kehta Hoon Ke Shayed Bojh Parta Hai Nigahon Per
Woh Kehti Hai, Zameend Pairon Ke Neeche Sard Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Zameend Hum SE Bohat Naraz Rehti Hai
Kaha Us Ne, Meri Itraaf Mujh Ko Qaid Rakhti Hain
Kaha Main Ne Ke In Itraaf Se Bahir Nahi Kuch Bhi
Kaha Us Ne, Darakht Apni Jarhon Se Pyar Karte Hain
Kaha Main Ne, Jarhein Ik Roz In Ko Mar Deti Hain
Kaha Us Ne, KHUDA Ache Bure Ki Baat Sunta Hai
Kaha Main Ne, Use Aawaz Ki Pehchaan Aati Hai
Woh Boli, Main Chehakte Badalon Ki Gungunahat Hoon
Main Bola, Tum Mehakte Motiya Ki Muskurahat Ho
Woh Boli, Main Suhaane Mausamon Ke Geet Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Haseen Dehatiyon Ki Pareet Jaisi Ho
Woh Boli, Main Chamakti Chandni Ke Rang Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Mohabbat Ke Purane Jhang JAisi Ho
Woh Boli, Main Lehakti Wadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Main Bola, Qaaf Ki Shehzadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Woh Boli, Main Samandar Paar Ki Janat Se Aayi Hoon
Main Bola, Main Tumhaare Khaas Istaqbaal Ko Aaya
Woh Kehti Hai Ke Mujh Se Titliyan Bhi Pyar Karti Hain
Main Kehta Hoon, Unhein Tum Baagh Ke Phoolon Si Lagti Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe Jugnoo Bhi Choone Ke Liye Aayein
Main Kehta Hoon, Tumhein Woh Chand Ki Mehmaan Samajhte Hain
Woh Kehti Hai, Meri Aawaz Ko Gunbad Taraste Hain
Main Kehta Hoon, Tumhari Bazgusht Mehrbaan Chahein
Woh Kehti Hain, Main Hans Doon To Fizayein Raqs Kar Uthein
Main Kehta Hoon, Tu Ro De To Ghatayein Raqs Kar Uthein
Woh Kehti Hai, Parinde Pyar Se Mujh Ko Bulate Hain
Main Kehta Hoon, Shajar Aksar Tere Qisse Sunate Hain
Woh Boli, Dard Aksar Raat Ko Soya NahI Karta
Main Bola, Is Tarah To Koi Bhi Rota Nahi Karta
Woh Boli, Hum To Ik Shaam-e-Ghareeban Ghar Mein Rakhte Hain
Main Bola, Karbala Waalon Se Kuch Nisbat Theharti Hai
Woh Boli, Dil Ki Veraani Ke Saye Cheekh Uthte Hain
Main Bola, Raat Ke Pichle Pehar Ik Jashan Hota Hai
Woh Boli, Dard Se Aksar Koi Aawaz Aati Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Kaun Bichra Hai Jawani Mein
Woh Boli, Eik Deewar-e-Ana Hayil Rahi Ab Tak
Main Bola, Ab Talak Nuqsaad Bhi To Ho Chuka Kaafi
Woh Boli, Raat Ke Maathe Pe Teeka Hai Suhagan Sa
Main Bola, Han Yeh Peshani Anokhi Hai Zamane Mein
Woh B oli, Har Taraf Jangal Mein Ik Pazeb Bajti Hai
Main Bola, Har Taraf Chanchal Hawa Phirti Hai Bhagi Si
Woh Boli, Sardiyon Mein Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi
Main Bola, Tum Ne Mere Lams Ki Shiddat Kabhi Dekhi
Woh Boli, Baarishon Mein Shehar Dhal Jjata Hai Lamhon Mein
Main Bola, Han Magar Aankhein Bohat Thak Jaya Karti Hain
Woh Boli, Garmiyon Mein Pairh Ki Chaon Bulaati Hai
Main Bola, Garmiyon Mein Pairh Bhi Kaisi Panahein Hain
Woh Boli, Zaat Ko Taqseem Hi Karte Raho Ge Kya
Main Bola, Waqt Ke Apne Taqaze, Dil Ke Apne Hain
Woh Boli, Phir Palat Aaye, Chale To Phr Palat Aaye
Main Bola, Band Kooche Ka Safar Hai Zindagi Apni
Woh Boli, Har Sarak Jaati Hai Gham Ke Shehar KI Janib
Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apne DIl Mein Ho To Phir
Woh Boli, Gham Hamesha Saath Deta hai Museebat Mein
Main Bola, Ik Zara Thehr, Mujhe Ghor Se Dekho
Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhe Tum Saath Hi Rakhte
Main Bola, Rooh Bin Main Jism Kya Karta, Kahan Jata
Woh Boli, Aa Gaya Hai Rateela Mausam Judai Ka
Main Bola, Main Tera Sehra Noord Mustaqil Thehra
Woh Boli, Rait Urti Hai To Aankhon Mein Bhi Parti Hai
Main Bola, Dard Ki Mari Hui Aankhon Ko Us Se Kya
Woh Boli, Soch Lo Is Dhoop Mein Kaante Baraste Hain
Main Bola, Yeh To Acha Hai Badh Per Phool Mehkein Ge
Woh Boli, Raat Zakhmon Per Bohat Teesein Bhi Barsein Gi
Main Bola, Zakhm Per Zakhmon Ki Seh Jaane Ki Adat Hai
Woh Boli, Aarzuon Ke Lahoo Ka Zayiqa Kya Hai
Main Bola, Talkh Hai Meeta Hai, Karwa Hai Raseela Hai
Woh Kehti Hai Ke Main To Maang Mein Sooraj Sajaongi
Main Kehta Hoon Ke Sooraj Ki Wazahat Ho Magar Pehle
Woh Kehti Hai, Main Apne Dil Mein Ik Deewar Uthaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Main Is Baat Ka Matlab Nahi Samjha
Woh Kehti Hai, Main Aankhon Mein Koi Sehra Basaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Benayi Jhils Jaye Gi Aise To
Woh Kehti Hai, Main Pairhon Per Tumhara Bakht Likhoon Gi
Main Kehta Hoon Ke Pairhon Se Adawat Hai Tumhein Koi
Woh Kehti Hai, Main Paani Per Tera Chehra Banaon Gi
Main Kehta HooN, Mujhe Lagta Hai Tera Dil Bhi Paani Tha
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kise Mujrim Samajhte Ho
Main Kehta Hoon, Use Jo Dard Ke Ma'ni Na Samjha Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jhoot Aur Sachaiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Niyyat Aur Natayij Ki Pazerayi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Sab Se Pehle Kaun Rehta Tha
Main Kehta Hoon Ke Andaza Ya Mafrooza Hi Mumkin Hai
Who Mujh Se Poochti Hai, Kaun Reh Jaye Ga Duniya Mein
Main Kehta Hoon Ke Bilkul Ik Nayi Aur Ajnabi Duniya
Woh Mujh Se Poochti Hai, Maut Ke Baare Mein Batao Ge
Main Kehta Hoon, Khat-e-Tanseekh Hai Aaghaz Se Pehle
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jangalon Mein Kaun Rehta Hai
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Shehar Mein Rehne Se Khayif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aasmanon Se Pare Kya Hai
Main Kehta Hoon, Na Veraane Na Aabadi Na Barbadi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Waqt Ko Tum Kya Samajhte Ho
Main Kehta Hoon Ke Har Ehsaas Ke A'dad Ki Ginti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya KHUDA Ko Mante HO Tum
Mian Kehta Hoon, Yaqeenan Aur Use Mehsoos Karta Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Yeh Mazahib Ke Masail Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Ke Bare Logon Ki Baatein Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khwab Ki Ta'beer Ke Baare
Main Us Se Poochta Hoon, Aqal Ki Jageer Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Zindagi Ke Raaz Ke Baare
Main Us Se PoochTA Hoon, Dharkanon Ke Saaz Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Aur Din Ki Musafat Kya
Main Kehta Hoon, Yeh Saaye Hain Kisi Qaidi Musafir Ke
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hum Agar Kuch Bhi Nahi Hain To
Main Kehta Hoon, Nahi Hona Bhi Hota Hai JAhanon Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aqal Kya Hai Aur Dil Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Ik Ikhtelaaf Amal Paheem Hai
Woh Kehti Hai Ke Deewanon Ka Koi Kya Bharosa Hai
Main Kehta Hoon, Bharose Ke Liye Duniya Hi kYA Kam Hai
Woh Kehti Hai, Kisi Ko Mat Bata Dena Mere Baare
Mmain Kehta Hoon, Magar Ik Geet Ko Aur Chandni Shab Ko
Woh Kehti Hai, Suno Farhat, Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Tum To Khud Meri Rayazat Ho
Woh Kehti Hai, Yeh Saare Log Ktyun Baatein Banate Hain
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Yeh Mohabbat Ka Muqadar Hai
Main Kehta hOON, Mohabbat Kayinaati Geet Hoti Hai
Woh Thora Gunguna Ke Aansuon Mein Doob Jati hAI
Woh Mujh Se Poochti Hai, Har Taraf Ik Be Kali Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Koi Anjaam Aa Pohancha Hai Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Be Sarosamaan Kab Se Ho
Main Us Se Poochta Hoon, Is Qadar Nadaan Kab Se Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Lawaris Hai Muqatil Mein
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Qatal Karne Ke Liye Aaye
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Halat Ka Kya Ho Ga
Main Kehta Hoon, Koi Din Mein Balayein Loot Jayeingi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Karbala Kya Phir Bapa Ho Gi
Mmain Kehta Hoon, Nahi, Ab Is Qadar Tanha Nahi Koi
Woh Boli, Darrd Ke Us Paar Bhi Eik Dard Hota Hai....