Tuesday 31 July 2012

Kuch der to dil ko chain mily Kuch roz to mann k phool khilen

Kuch der to dil ko chain mily
Kuch roz to mann k phool khilen

Kehty hain k EID ki aamad hai
Hum log bhi kuch taaeed karen

Tum se ik ye guzarish hai
Ye apny dil ki khwahish hai

Ik bar milo
Ik bar milo
Hr bar ye hi taakeed karen

Maana k hum deewany hain
Sab baaton se anjany hain

Jab apny bhi begany hain,
Kiya ghairon se ummeed krain

Tum aao to hum bhi Eid karen
Tum aao to hum bhi Eid karen.


Kash tu mujh ko mil gayi hoti,

Zindagi rukh badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Zindagi ko galey laga leta,
Har tamana pighal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,

Khawab palkon pe mein sajaa leta,
Tujh ko seeney se mein laga leta,
Apne dil mein tujhe basaa leta,
Meri kismat badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,

Aahh nikle gi hont si loon ga,
Jis tarah ho sake ga jee lon ga,
Zeher bhi hanste hanste pee loon ga,
Gham ki yeh dhoop dhal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,

Ab tere gham ko dil mein paloon ga,
Haan judai ka zakham kha loon ga,
Maut ko bhi galey laga loon ga,
Maut bhi aa ke tall gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti..

Aj iTna udaas hn mohsin....

Aj iTna udaas hn mohsin....


Jese zulfen jwan bewa ki.....

Monday 30 July 2012

Duayen Hum Ne Maangi Thi Mazaay Ghairoon Ne Lootay Hain,,,,

Duayen Hum Ne Maangi Thi Mazaay Ghairoon Ne Lootay Hain,,,,

Bara Mehngaa Paraaa Hum Ko,
Sanam Tera Aashiq Hona.

Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi

Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi
Zabaan Pe Qissa-e-Ghum Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi


Kabhi Hasna Kabhi Rona, Kabhi Hans Hans Ke Ro Dena
Ajab Dil Ka Ye Alam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi


Kabhi Aankhon Hi Aankhon Mein Wo Baaton Ka Bata Dena
Kabhi Takrar Baham Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi


Kisi Ko Samney Paa Kar Kisi Ke Surkh Honton Par
Anokha Saa Tabassum Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi


Hr Ik Salvat Pe  Bistar Ki Kisi Ka Naam Likha Hai
Diye Ki Lo Bhi Madham Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi

Zara Sa Zakham Thaa, Aisa Bhi La-Ilaaj Na Thaa..

Zara Sa Zakham Thaa,

Aisa Bhi La-Ilaaj Na Thaa..

 

Tumharey Baad Magar Ehtiaat

Bhi Na Hui..

Koi Kaandha Ho Muyassar Koi To Saath Dey Mera.

Koi Kaandha Ho Muyassar

Koi To Saath Dey Mera..

 

Mujhe Toote Huye Ek

Khwaab Ki Tadfeen Karni Hai..

Pehla Sa Wo JunooN, Wo Mohabbat Nahi Rahi

Pehla Sa Wo JunooN,
Wo Mohabbat Nahi Rahi


Kuch Kuch Sambhal Gaye Hain,
Tumhari Duaa Se Hum

December Mujh Se Bolaa Tha Ab Ke Jb Mai Aaon Ga


December Mujh Se Bolaa Tha

Ab Ke Jb Mai Aaon Ga

Tujhe Phir Se Pukaron Ga

Usey Mai Sath Laon Ga

Jo Tujh Ko Bhool Baitha Hy

Ke Jis Ke Hijr Ka Laawa

Tera Tan Man Jalata Hy

Ke Jis Ki Yaad Ki JheeloN Mei

Akser Doob Jatey Ho

Ke Jis Ke Waastey Bethey

Yaahan Tum Geet Gaatey Ho!

 

December Mujh Se Bolaa Tha

Suno Tum Bhool Na Jana

Jo Yaadein Us Ne Sonpi Han

Jo Lamhay Us Ne Bakhshey Han

Chaahe Ye Zakhm Saary

Rooh Ka Naasoor Ban Jaaen

Inhen Barhney Nahi Dena

Inhen Marney Nahi Dena…

December Ke Mahine Ka Wo Shayd 11wan Din Tha

December Ke Mahine Ka

Wo Shayd 11wan Din Tha

Kahin Guzrey Baras Mai Ne

Mohabbat Lafz Likha Tha

Kisi Kaghaz Ke Tukrey Par

Achanak Yaad Ayaa Hai

Kahin Guzrey Baras Mujh Ko

Kisi Se Baat Karni Thi

Usey Kehna Tha Jaan e Jaan

Mujhe Tum Se Mohabbat Hai

Magar Mai Keh Nahi Payaa

Wo Kaghaz Aaj Tk Liptaa Paraa

Hai Dhool Mei Lekin

Kisi Ko De Nahi Payaa

December Phir Ke Ayaa Hai

December Chalaa Bhi Jaaye Ga

Magar!

Dobaraa Chaah Kr Bhi Mai

“Mohabbat”

Kr Nahi Payaa….

Ab Kis Ka Jashan Manatey Ho

Ab Kis Ka Jashan Manatey Ho

Us Dais Ka Jo Taqseem Hua

Ab Kis Ke Geet Sunaatey Ho

Us Tan Man Ka Jo Do Nim Hua…

 

Us Khwaab Ka Jo Reza Reza

Un Aankhon Ki Taqdeer Hua

Us Naam Ka Jo Tukrey Tukrey

Galiyon Me Be Tauqir Hua…

 

Us Jang Ka Jo Tum Haar Chukey

Us Rasm Ka Jo Jaari Bhi Nahi

Us Zakhm Ka Jo Seeney Pe Na Tha

Us Jaan Ka Jo Waari Bhi Nahi

 

Us Khoon Ka Jo Bad Qismat Tha

Raahon Mei Bahaya Tan Mei Raha

Us Phool Ka Jo Be Qeemat Tha

Aangan Mei Khilaya Ban Mei Raha

 

Us Mashriq Ka Jis Ka Tum Ne

Neze Ki Ani Marham Samjha

Us Maghrib Ka Jis Ko Tum Ne

Jitna Bhi Loota Kum Samjha

 

Un Maasoomon Ka Jin Ke Lahu

Se Tum Ne Farozaan Raaten Ki

Ya Un Mazloomo Ka Jin Se

Khanjar Ki Zabaan Mei Baaten Ki

 

Un Noha Garon Ka Jin Ne Humen

Khud Qatal Kia Khud Rotey Han

Aisey Bhi Kahin Dum Saaz Huye

Aisey Jallad Bhi  Hotey Han

 

Un Bhookey Nange Dhaanchon Ka

Jo Raqs Karen Bazaaron Mei

Ya Un Zaalim Qazzaqon Ka

Jo Bhes Badal Kr Waar Karen

 

Ya Un Jhootey Iqraaron Ka

Jo Aaj Talak Eefa Na Huye

Ya Un Bebas Lachaaron Ka

Jo Aur Bhi Dukh Ka Nishana Huye

 

Is Shahi Ka Jo Dast Badast

Aai Hai Tumharey Hisse Mei

Kiu Nang Watan Ki Baat Karo

Kia Rakha Hai Is Qissey Mei

 

Aankhon Mei Chhupaae Ashkon Ko

Hontoon Peh Wafaa Kay Bol Liye

Iss Jashan Mei Mai Bhi Shaamil Hoon

Nohon Se Bharaa Kashkol Liye…

Tuu Bi Saada Hai Chaal Badaltaa Hi Nhin

Tuu Bi Saada Hai Chaal Badaltaa Hi Nhin,

 

Hum Bi Saada Han Usi Chaal Mei Ajaty Hain

Chehrey Khiley Huey Han To Dil Han Bujhey Huey…

Chehrey Khiley Huey Han
To
Dil Han Bujhey Huey…

 

Har Shakhs Mei Tazaad Hai
Din Raat Ki Tarhaan….

Mohabbat jab lahu ban kar,ke ab wapis palatne ka amal aaghaz hota he

Mohabbat jab lahu ban kar
ragon me sarsaraey to
koi bhoola hua chehra
achanak yad aye to
qadam mushkil se uthtay hain…
Irada dagmagaye to
koi maddham se lehjay me
tumhe wapis bulae to
theher jana
samajh lena
ke ab wapis palatne ka amal aaghaz hota he
Kabhi tanhaion ka dard
aankhon me samaay to
koi lamha guzashta chahaton ka
jab sataey to
kisi ki yad me rona
tumhen bhe khoon rulaay to
agar tum se tumhara dill
achanak rooth jaey to
Kabhi anhonion ka dar
parindon ko uraey to
hawa jab per se ik zard sa
patta giraey to
theher jana
samajh lena
ke ab wapis palatne ka amal aaghaz hota he

Wo Sar Aankho Pe Hy Mere

Bazahir Mutmaen Hoon Mai

Mila Jo Kch Mohabbat Mei

Wo Sar Aankho Pe Hy Mere

Mjhe Bichrey Hue Tum Se
Zamana Ho Gya Jana!

Magar Ik Baat Seene Mei

Kahi Chubti Hy Barso Se

Khalish Is Baat Ki Ab Tak

Mere Dil Se Nhi Jati

Ke Mai Chahat Ke Daaman Pr

Lage Daagh e Judaai Ko

Kabhi Bhi Dho Nhi Payaa!!!

TUMHARA HO KE BHI HUMDUM

TUMHARA HO NHI PAYAA

Main Ne Tohmat-e-Takfeer Bhi Uthaai Hui Hai…

Main Ne Tohmat-e-Takfeer Bhi Uthaai Hui Hai…
Eik Neiki Merey Hissey Mei Bhi Aai Hui Hai…

Merey KaandhoN Pe Dharaa Hai Koi Haraa Hua Ishq…
Yeh Ghari Hai Jo Muddat Se Uthaai Hui Hai…

Toot Jaaunga Agar Mujhh Ko Banaaya Bhi Gaya…
Koi Shaey Aesi Merey Jism Mei Samaai Hui Hai…

Sard Mehri Ke Ilaaqey Mei Hoon Masroof-e-Duaa…
Zinda Rehnay Ke Leiy Aag Jalaai Hui Hai…

Qissaa Goo! Teri Chaupaal Se Mai Ab Chaltaa Hoon…

Raat Bhi Bheeg Chuki, Niind Bhi Aayi Hui Hai…

Sunday 29 July 2012

Hum Kis Se Milen, Kis Se Kahen *Eid Mubarak

Dastoor Hai Dunya ka Magar Ye Bhi Tou Batao,

Hum Kis Se Milen, Kis Se Kahen *Eid Mubarak*

TUM AO TO HUM B EID KARAIN….

TUM AO TO HUM B EID KARAIN….
Hasrat hai tumhari deed karain
tum ao hum b eid karain..
khch dair to man ko chain mile
khcuh roz to man k phool khilain…
kehte hian eid ki amad hai
ab log khch takeed karain
TUM AO TO HUM B EID KARAIN….
tum se ye aik guzarish hai
ye apne dil ki khahish hai…
aik bar milo aik bar milo
her bar yehi takeed karain…
TUM AO TO HUM B EID KARAIN….
mana k hum dewane hain
sub bato se anjane hain
jub apne hi begane hain
kia gero se umeed karain
TUM AO TO HUM B EID KARAIN….

Ghol ke dard ke maaron ne piya eid ka chaand…

Talkhiyaan barh gayin jab zeest ke pemaney mein,

Ghol ke dard ke maaron ne piya eid ka chaand…

Kitni palkon se fizaaon mein sitarey tootey,

Kitni palkon se fizaaon mein sitarey tootey,

Kitne afsanon ka unwaan bana eid ka chaand..

Is Bache Ki Eid Na Janey Kesi Ho Gi,

Is Bache Ki Eid Na Janey Kesi Ho Gi,

Jis Ki Janat Nangey Paon Phirti Hai

Un ko dekha tou phir utra na geya,

Un ko dekha tou phir utra na geya,

Aasman tak hi raha eid ka chaand...

Iss eid pe lot k aa jana, Kuch yadein taza krni hain,

Iss eid pe lot k aa jana,
Kuch yadein taza krni hain,


Kuch lamhay morr k lanay hain,
Kuch taray torr k lanay hain,


Wo masti or wo madhoshi,
Wo bachpan morr k lana hai,


Is eid pe lot k aa jana,
Ab dil ko dil ki dharkan se,


Phir eid mubarak kehna hai,
Ab sath boht din rehna hai,


Is eid pe lot k aa jana…!

Tujhe meri na mujhe teri khabar jaye gi,

Tujhe meri na mujhe teri khabar jaye gi,

Eid ab ke baar dabey paaon guzar jaye gi..

Tujhse bichhre to ab hosh nahin,

Tujhse bichhre to ab hosh nahin,

Kab chand hua kab eid huyi….

Log Kehte Hain k EID Aayee Hai

Log Kehte Hain k EID Aayee Hai ?

Tum Aajao to Yaqeen Aa jaye..

Ye Eid Ke Pakwaan Ka Kuch Aaisa Aasar Hai..

Ye Eid Ke Pakwaan Ka Kuch Aaisa Aasar Hai..

Mehboob Ki Zulfain Bhi Lagti Hain Sawaiyaan..

Bakra Eid Special Filmi Dialogues...

Bakra Eid Special

(Wanted)
“Agar Ek Bar Me Gosht Bhej Do
TU
Dobara Mangne Mat Ana”

(Bodyguard)
“Mujh Par Ek Ehsaan Krna
K
Mujhse Bar Bar Gosht Mat Mangna”

(Dabbang)

“Hum Tumhe Itna Gosht Bhejenge

K

Tum Confuse Ho Jaoge K Qurbani Mene Ki Hai Ya Tumne” =P

Jis ny tmhain dekha usey Eid MUbarak

Hmne Tmhain dekha nahi kiya Eid Manayen,?

Jis ny tmhain dekha usey Eid MUbarak

Har baar ki tarah is bar bhi ansu bahaon ga,

Har baar ki tarah is bar bhi ansu bahaon ga,
Suno logo, mein eid nahin manaoon ga,


Sahu’on ga gham akele chupke chupke,
Zakham apne na kisi ko dikhaon ga,


Suno logo, mein eid nahin manaon ga.


lage gi mehndi hathon per, urti phiren gi titliyaan
Mein ponch ke ankhen, chup chap se so jaaon ga


Suno logo, mein eid nahin manaon ga.
Jis haal mein hoon mein, bohat khush-haal hoon mein


Zamaney bhar se acha hon, aag kahin na lagaon ga
Suno logo, mein eid nahi manaaon ga.

Yeh Eid Teray Shehar Mein Bhi Aayi Hogi

Yeh Eid Teray Shehar Mein Bhi Aayi Hogi
Barray Naaz Say Tu Nay Bhi Manayi Hogi
Haseen Haath Pay Mehandi Bhi Lagayi Hogi
Narm C Kalayi Chorriyon Say Sajayi Hogi
Sitaray Bhi Taankay Hoon Gay Tum Nay Maang Mein Apni
Marmareen Paaon Mein Pazaib Bhi Pehni Hogi
Aankhon Mein Kajal Bhi Lagaya Hoga
Rukhsaron Pay Laali Bhi Bikhhri Hogi
Ajab C Khushi Say Dil Bhi Dharka Hoga
Koi Chahnay Wala Jab Eid Mila Hoga..

KASH MAIN TERAY HASEEN HATH KA KANGAN HOTA

KASH MAIN TERAY HASEEN HATH KA KANGAN HOTA
TOO BARAY PIYAR SAY,CHAO SAY,MAAN KAY SAATH
APNI NAZUK SI KALAI MAIN CHARHATI MUJH KO
AUR BAITABI SAY FURSAT KAY KHIZAN LAMHON MAIN
TOO KISI SOCH MAIN DOOBI JO GHUMATI MUJH KO
MAIN TERAY HAATH KI KHUSHBOO SAY MEHEK SA JAATA

TOO KABHI MODE MAIN AAKAR MUJHE CHOOMA KARTI
TERAY HONTON KI HIDDAT SAY DEHEK SA JAATA
RAAT KO JAB BHI TOO NEENDON KAY SAFAR PAR JAATI
MARMARIEN HAATH KA TAKIA BANAYA KARTI
MAIN TERAY KAAN SAY LAG KAR KAI BATAIN KARTA
TEREE ZULFON KO,TERAY GAAL KO CHOOMA KARTA

JAB BHI TOO BAND QABA KHOLNAY LAGTI JAANAN
APNI AANKHON KO TERAY HUSN SAY ZAKHEERA KARTA
MUJH KO BAITAB SA RAKHTA TEREE CHAHAT KA NASHA
MAIN TERI ROOH KAY GULSHAN MAIN MEHEKTA REHTA
MAIN TERAY JISM KAY AANGAN MAIN KHANAKTA REHTA

KUCH NAHI TOU YEHI BENAAM SA BANDHAN HOTA
KASH MAIN TERAY HASEEN HATH KA KANGAN HOTA!

Mohabbat ab nahi hogi yeh kuch din baad mai hogi,,

Mohabbat ab nahi hogi yeh kuch din baad mai hogi,,

Guzar jayenge jab yeh din yeh Unki yaad mai hogi...!

Nigahon K Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai

♥ Nigahon K Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai,
Yaqin Kaamil Nahi Lekin Guman Hai Piyar Karti Hai” ♥

♥ “Laraz Jata Hon Main Ye Soch K Kafir Na Ho Jaon,
Tabiyat Us Ki Pooja Pe Bara Israar Karti Hai” ♥

♥ “Use Maloom Hai Shayad Mera DIL Hai Nishane Per,
Labon Se Kuch Nahi Kehti Nazar Se Waar Karti Hai” ♥

♥ “Main Us Se Pochta Hon Khwab Me, ‘Mujh Se Mohabat Hai?’
Phir Aankhen Khol Deta Hon Wo Jab Izhaar Karti Hai. . .♥ ~

Khirki, Chand, Kitab Aur main


Khirki, Chand, Kitab Aur main
Muddat Se ik Baab Aur main

Shab Bhar Khailain Apus main
Do Ankhain ik Khawab Aur main

Mouj Aur Kashti, Sahil par
Deriya main Gardab Aur main

Shaam, Udasi, Khamoshi
Kuch Kankar, Talaab aur main

Har Shab Pakray Jatay hain
Ghari Neend Khawab Aur main..

Tumhen muj se gila kya hy..?

Tumhen muj se gila kya hy..?
Achanak
be rukhi itni..
Batao to hua kya hy..?
Manaaun kis tarah tum ko..?
Mujhy itna to
batla do..
Agar ab ho saky tum se..
To ye ahsan farma do..
Meri manzil mohabat hy..
Mujhy manzil pe pohncha do..
Tumhari aankh men aansu..
Mujhy achy nhi lagty..
Tumhary narm honton pe..
“Gily achy nhi lagty”..
Tumhary muskurany se..
Mera dil muskurata hy..
Tumhary rooth jany se..

Mera dil toot jata ha.....!!

Main aksar Ussy kehta hon,

Main aksar Ussy kehta hon,

Tum shor boht Machaati ho”

Phir wo mujhse kehti hy

Jab kalaai meri tum pakro gay..
Chorri to meri khankay gi..
Chorri ka shor to hota hy..

Jb pyar sy mujhe bulao gay..
Tab Dorr k main to aungi..
Phr Paayal meri khanky gi..
Paayal ka shor to hota hy..

Jb bindiya meri Chamky gi..
Ye Aankh me teri Damky gi..
Jazby phr shor Machayen gay..
Jazbon ka shor to hota hai..

Zulf meri suljhaaty hue..
Jb Gajray ko Bikhraao ge..
Tab Saansain meri Mehken gi..
Saanson ka shor to hota hy….

Terey Hijr Mei Yeh Pata Chala,

Terey Hijr Mei Yeh Pata Chala,

Meri Umer Kitni Daraz Hai…

Saturday 28 July 2012

Ye Jo Khud Shikastaa Se Han Qehqahey!

Ye Jo Khud Shikastaa Se Han Qehqahey!
Merey Dil Ko Lagte Han Bojh Se!


Wo Jo Apney Aap Mei Mast Ho!
Mujhe Us Hansi Ki Talash Hai!

Jo Utar k Zeena_e Sham Sey

Jo Utar k Zeena_e Sham Sey

Teri Chashm_e Tar Mei Sama Gaye



Vohi Jalte Bujhte Charaagh Sey

Mere Baam_o Dar Ko Saja Gaye



Vo Ajeeb Phool Sey Lafz They

Tere Hont Jin Sey Mehek Utthey



Mere Sehen_e Dil Mei Door Tak

Kai Baagh_e Dil Laga Gaye



Ye Ajeeb Khel Hai Pyaar Ka

Meine Aap Dekha Yeh Mojza



Vo Jo Lafz Mere Gumaan Mei They

Vo Teri Zaban Pe AA Gaye



Vo Jo Geet Tum Ne Suna Nahi

Meri Umar Bhar Ka Riaz Tha



Mere Gham Ki Thi Vo Dastaan

Jise Tum Hansi Mei Uraa Gaye…

Palat Kar Bhi Nahi Dekhi Teri Ye Be Rukhi Hum Ne,

Palat Kar Bhi Nahi Dekhi Teri Ye Be Rukhi Hum Ne,

Bhula Denge Tujhe Aisa Ke Tu Bhi Yaad Rakhe Ga

Laga Kr Aag Seene Mei Chale Ho Tum Kahan Humdum!

Laga Kr Aag Seene Mei Chale Ho Tum Kahan Humdum!

Abhi To Raakh Urne Pr Tamasha Or Bhi Hoga!

Meri Mohabbatein Bhi Ajeeb Theen!

Meri Mohabbatein Bhi Ajeeb Theen!
Mera Faiz Bhi Thaa Kamal Par!


Kabhi Sub Kuch Milaa Bina Talab!
Kabhi Kuch Na Milaa Sawaal Par!

Tishnagi Rozz Mulaqaat Mein Reh Jaati Hai,

Tishnagi Rozz Mulaqaat Mein Reh Jaati Hai,
Meri Ek Baat Kahin Baat Mein Reh Jaati Hai,

Chaand Aankhon Sey Guzarta Hai, Guzar Jaata Hai,
Chaandni Dil Kay Mazafaat Mein Reh Jaati Hai,

Khawab Mein Haath Mila Kar Wo Chala Jata Hai,
Or Phir Ek Dhanak Haath Mein Reh Jaati Hai,

Uskaa Chehra To Nikal Jaaye Meri Sochon Sey,
Roshni Mere Khyalat Mein Reh Jaati Hai,

Jab Wo Raa’naai Sey Uthh Jaaye Mere Pehlu Sey,
Aik “Tanhai” Meri Zaat Mein Reh Jaati Hai….

Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi

Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi
Zabaan Pe Qissa-e-Ghum Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi

Kabhi Hasna Kabhi Rona, Kabhi Hans Hans Ke Ro Dena
Ajab Dil Ka Ye Alam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi

Kabhi Aankhon Hi Aankhon Mein Wo Baaton Ka Bata Dena
Kabhi Takrar Baham Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi

Kisi Ko Samney Paa Kar Kisi Ke Surkh Honton Par
Anokha Saa Tabassum Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi

Hr Ik Salvat Pe  Bistar Ki Kisi Ka Naam Likha Hai
Diye Ki Lo Bhi Madham Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi

Guzrey Hue Taveel Zamaney Ke Baad Bhi

Guzrey Hue Taveel Zamaney Ke Baad Bhi
Dil Me Raha Vo Chorr Ke Jaaney Ke Baad Bhi

Pehlu Me Reh Ke Dil Ne Dia Hai Boht Fareb
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulaane Ke Baad Bhi

Qurbat Ke Baad Or Bhi Qurbat Ki Talaash
Dil Mutmain Nahin Hai Terey Aane Ke Baad Bhi

Go Tu Yahan Nahin Hai Magar Tu Yahin Pe Hai
Tera Hi Zikar Hai Terey Jaane Ke Baad Bhi

Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahi Hai Usey Adeem
Dil Ka Tamam Haal Sunaney Ke Baad Bhi

Teri Ankhun k Surkh Doray,

Teri Ankhun k Surkh Doray,

Raat Kis k NAseeb Jaage....??

Shamil Mera Dushman Saf-e-Yaraan Mein Rahega

Shamil Mera Dushman Saf-e-Yaraan Mein Rahega
Yeh Teer Bhi Paywast-e-Rag-e-Jaan Mein Rahega,

Ek Rasm-e-Januu Apne Muqaddar Mein Rahegi
Ek Chaak Sadaa Apne Girebaan Mein Rahega,

Ek Ashk Hai Aankhon Mein So Chamkega Kahaan Tak?
Yeh Chaand Zad-e-Shaam-e-Ghareebaan Mein Rahega,

Main TUjh Se Bechar kar Bhi Kahaan Tujh Se Juda Hoon
Tu Khawaab Sifat Deeda-e-Giryaan Mein Rahega,

Rangon Ki Koi Rut Teri Khushbu Nahi Laaie
Yeh Daagh Bhi Damaan-e-Baharaan Mein Rahega,

Ab Kay Bhi Guzar Jaaenge Sab Wasl Kay Lamhe
Masroof Koi Wada-o-Paymaan Mein Rahega,

Main Harf-e-Januu Keh Na Sakoonga, Jo Kahoon Bhi
Ek Raaz Ki Soorart Dil Imkaan Mein Rahega,

“Mohsin” Main Hawadis Ki Hawaaon Mein Ghera Hoon
Kiya Naqsh-e-Qadam Dasht-o-Bayabaan Mein Rahega ?

Jalta HOon Roz Sham Ko Ghar K DiYe S SAath,

Jalta HOon Roz Sham Ko Ghar K DiYe S SAath,

MujH Be Khabar Ko Dosto Kuch Agahi To Hai.

Us Ki Dehleez Pe Sadiyoon Se Khara Hun Mohsin,

Us Ki Dehleez Pe Sadiyoon Se Khara Hun Mohsin,

Mujh Se Milne K Jo Lamhaat Gina Krta Tha...

Kabi yaad aye to puchana zara apni khlwat-e-sham se

Kabi yaad aye to puchana zara apni khlwat-e-sham se
Kisy ishaq tha teri zat se kisy pyar tha tery naam se

Zara yaad kr k wo kon tha jo kabi tujhy b aziz tha
Wo jo jee utha tery naam sy wo jo mr mita tery naam py

Humain berukhi ka nhi gila k yehi wafaon ka hai sila
Magar aisa jurm tha konsa gaye hum Dua-o-Salam se

Na kabi Visaal ki chaah ki, Na kabi Firaaq mein aah ki
K mera treeqa-e-Bandgi hai, juda treeqa-e-Aam se

Thursday 26 July 2012

Kuch To Hai... Tuu Badal Gaya Hai!!

Kuch To Hai...
Tuu Badal Gaya Hai!!

Vo Teri Aankhon Mei Khwab Saarey,
Vo Baatein Saari,
Hisaab Saarey,
Sawaal Saarey,
Jawaab Saarey,
Vo Khushiyaa Saari
Vo Dukh Saarey,
Nasha Tha Jo Vo Uter Gaya Hai!!

Kuch To Hai...
Tuu Badal Gaya Hai!!

Jo Terey Milne Ki Aarzu Thi,
Hui Jo Chahat Abhi Shuroo Thi,
Jo Teri Aankho Mei Roshni Thi,
Jo Teri Baato Ki Raagni Thi,
Jo Teri Saanso Ki Taazgi Thi,
Jo Tery Lehjey Mei Chashni Thi,
Vo Saari Baatein Badal Gai Han,


Kuch To Hai...
Tuu Badal Gaya Hai!!

Tu Bhi Na Mil Ska, Umar Bhi RaigaaN Gai...

Tu Bhi Na Mil Ska,
Umar Bhi RaigaaN Gai...

Tjh Sey To Khair Ishq Tha,
Khud Sey Bary Gilay Rhy...

Usy Kaho Main Ab Sans Lena Chahta HOon,

Usy Kaho Main Ab Sans Lena Chahta HOon,

Mery Wajood Sy Wadon Ki Rasiyan Kholy....

Yehi Surkhi Jo Hy Terey ~Lab~o~Rukhsaar~ Pe Janaa'N!

Yehi Surkhi Jo Hy Terey ~Lab~o~Rukhsaar~ Pe Janaa'N!
Yehi RanG-e-Sukhan Bharr Dey Mery Ash'aaR Mei Janaa'N!

NiraaLi Shaan Sey Aaun Ga Sub Hairat Sey DekheN Ge,
Libaas-e-IshQ Pehnu Ga Tery Darbaar Mei Janaa'N!

Mery DiLki Ye Kefiat Khuley Tum Pey To Kia KehneY,
Takaluf Hai HumeiN Jazbaat K Izhaar Mei Janaa'N!

Ye Taariki Ghatey Kesey, Shab-e-Furqat Katey Kesey,
Sehar To So Gai Shayd, Terey Rukhsaar Mei Janaa'N!

Hamaari Koi Qeemat Ho Na Ho Kiya Farrq Partaa Hy,
Magar Hum To BikeN Ge Misr Ke Bazaar Mei Janna'N!

Suni HaN Shab Ke Sannaty Mei HumNe SisskiyaaN Aksar,
Abhi Zindaa Hy Wo Shayed Kisi Dewaar Mei Janaa'N!!!

Ghaao Ginty Na Kabhii Zakhm Shumaari Karty

Ghaao Ginty Na Kabhii Zakhm Shumaari Karty
Ishq Mei Agar Hum Bhii Waqt Guzaari Karty

Tujh Mei To Khair Muhabbat Ke Thy Pehlu Bhi Boht
Dushman-e-Jaa'N Bhi Agar Hota To Yaari Karty

Ho Gaey DhuuL Tery Raah Mei Baethy Baethy
Ban Gaey Aks Teri Aaeena Dari Karty

Waqt Aaya Hai Judai Kaa To Ab Sochty HaN
Tujhy Aasab Pe Itna Bhi Naa Tari Karty

Aakhri Daao Lagana Nahi Aaya Hum Ko
Zindagi Beet Gai Khud Ko Juwaari Karty.

Adhuri Baatein Jo Kar Gye Ho Merey He Dil Mei Utar Gye Ho

Adhuri Baatein Jo Kar Gye Ho
Merey He Dil Mei Utar Gye Ho

Kis Ki Chahat Ka Ye Asar Hy
Ke Raiza Raiza Bikhar Gye Ho

Tum Hi To Ho Jo Hamary Dil Ki
HadoN Ko Chu Kr Guzar Gye Ho

Hamara Thaamo Ge Haath Kia Tm
Abhi Se Dunya Se Dar Gye Ho

Chaley Gye Ho Nazar Jhuka K
Humein Deewana Sa Kr Gye Ho

Bhool Bethy Ho Ehed Saary
Abhi Se Kiu Tm Mukr Gye Ho

Dhoondtee Hy Nazar Ye Tm Ko
Aa Bhi Jaao Kidhr Gye Ho

Meri MajboorioN Mein BeWafaai Dhoondney WaloN!!

Meri MajboorioN Mein BeWafaai Dhoondney WaloN!!

Chalakty Tum Ne In AankhoN Ke Paimany Nahi Dekhy

Abar Barsa Na Hawa Taiz ChaLi Hy Ab Ke

Abar Barsa Na Hawa Taiz ChaLi Hy Ab Ke
Kitni VeeRan Teri YaadoN Ki Gali Hy Ab Ke

Sehan-E-Gulshan Ki Hawa Hy K Qaza Ki Dastak
Kitni Sehmi Hui Har Ek KaLii Hy Ab Ke

Ya Teri Aankh Ke KashkoL Me, Aansu Chamkaa!!
Ya Andherey Mei Koi Shama JaLi Hy Ab Ke

Subha Ki Dhoop Uter Aai Hy Mery BaaLon Mei
Shab DhaLi Hy, Ke Meri Umer DhaLi Hy Ab Ke

Kis Ko Fursat Hy Ke DhuwaaN Dekhny Jaye MOHSIN!!
Jhonpri Shehar Sy Kuch Duur JaLi Hy Ab Ke....!!

Is Kainaat e Mohabbat Mein Hum Misl e Shams o Qamar Han

Is Kainaat e Mohabbat Mein
Hum Misl e Shams o Qamar Han

Ek Raabita MusalsaL Hai
Ek Faasla MusalsaL Hai

Mae Khud Ko Baich DuuN Phr Bhi
Mae Tujh Ko Paa Nhi Saktaa

Mae Aam Saa Hamesha HuN
Tuu Khas Sa MusalsaL Hai

Waqt e WisaaL Ki Bhi
Ek Aarzu Adhoori Hai

Ek Aas Si Hamesha Hai
Ek Khwab Saa MusalsaL Hai

Khata KaaroN Ki Qismat Mein
Jannat Hua Nhi Karti

Mae Khata Kaar Azl Se Hun
Tu Parsaa MusalsaL Hai

Bayaan Har Kisii Se Hijr_O_Wisaal Karty Ho

Bayaan Har Kisii Se Hijr_O_Wisaal Karty Ho
Kiu Apna Shehr Me Jeena Muhaal Karty Ho

Bichhar K Bhala Miley Han Musaafir Bhi
Kiu Apny Aap Ko Yuunhi Niddhal Karty Ho

Suna He Vo Bhi Tumhy Puuchta Hy Aisy Hi
Tum Us K Bary Me Jesey Sawal Karty Ho

Vo Aashnaai Usy Yaad Hi Na Ho Shayd
Vo Jis K Nam Pe Sb Maah_O_Saal Karty Ho

Boht Aziz Tha Shayd Vo Is Lye...!!!
Bichharny Waly Ka Ab Tak MALAAL Karty Ho

HoNT00n Pe SAAhil00N Kii TrhaN TishNegI RhI

HoNT00n Pe SAAhil00N Kii TrhaN TishNegI RhI
Maen Chupp Hua To Merii AnAA ChekhTii RhI

Eik NaM Kiya Lekha TeRaa SAAhiL Ki Ret Pr
Phr Umr Bhr HaVa Se Merii DushMaNI RhI

SerkooN Pe SarrD RaaT RhI Merii HmSafaR
AAnKh00N Me Merey SaaTh ThakaN JagTi RhI

YaaDuuN Se KheLTi RhI TnHaaI RaaT BhaR
KhuShBuu Key IntazAAr Mein ShaB BheeGtii RhI

Wo LFZ LFZ Mj Pe UtrTa Rahaa SAhiLL
SoChooN Pe Uss K Nam Ki TkhTi Lgi RhI...

Teri Bhejee Hui Tehriroon Ka Kbhi Doonga Tujhe Jawab

Teri Bhejee Hui Tehriroon Ka Kbhi Doonga Tujhe Jawab

Bus Ksi Apny Ki Di Hui Thoker Sy Sanbhal Jaaoon Zara..

Tery KhyaaL Mai Kch Aisy Gum Rahaa BarsooN

Tery KhyaaL Mai Kch Aisy Gum Rahaa BarsooN
Main Apny Aap Sy Bi Mil NahiN Saka BarsooN

KahiiN Vo Zaaiqa TehLiiL He Na Hu JAyee
Main Tum Sy Mil Kr Kisii Sy NahiN Mila BarsooN

Kaha Thaa Tum Ny Ke Tum Laut K Aaoge Eik DiN
So Main Jahaan Thaa WahiN Pr Khara Rha BarsooN

Tery BaghaiR Mri Umr RaayegaaN Guzree
Koi Bi Kaam NahiN Theek Sy Hua BarsooN

Tumhary Haath Ki Dastak Ki Aass Main MOHSIN
Main Apny Ghar Sy KahiN Bi NahiN Gya BarsooN.....

Teray Herf_o_Lb Ka Talism Thaa Mri Aab_o_Tab Mein Rah Gya

Teray Herf_o_Lb Ka Talism Thaa
Mri Aab_o_Tab Mein Rah Gya

V0 Ksi Gulab Ka Jisim Thaa
J0 Mri Kitab Mein Rah Gya

Mri BAAt BAAt Mein Roshnii
Meray Herf Herf Mein Dil-kashi

Tu Mra Sharik_E_Wisal_E_Jaan
Mri Hr Kitab Mein Rah Gya

Koi PhUUL Khil Kr Bikher Gya
Koi BAAt Bn K Bigarr Gya

Na Sawaal Koi Laboon Pe Hy
Na Gilaa Jawaab Mein Rah Gya

Tujhy Kia Bataaen K KIa Huaa
V0 Suroor_E_Raqs_Wafaa Gya

Na Gunnah Me Rhi Bat V0
Na Maza Sawab Mein Rah Gya

Dil Khush-Gumaan Tri Kheir Ho
Tu Hy Phir Yaqiin K! Saliib Pr

Tujhy Phir Ksi Se Shikayatein
Tuu Isi Azaab Mein Rah Gya

Tujhy Kyaa Mila Dil-E-Mubtala
Na Koii Duaa Na Kahiin Wafaa..

Mgar Ik Arsa_E_RaaigaaN!!
Jo Teray Hisaab Mein Rah Gya!!

V0 J0 Meraa Eehd_E_Jamal Thaa
V0 J0 Meraa Sheher_E_Khayaal Thaa

Ke Ab Us Ka Zikr_E_Kamaal Bhi
Kahiin Herf_E_Khwab Mei Rah Gya!
UDaaS Tehrir ParrH K Meri
Merey Sanam Muskura Na DeNaa...

Ye AkhRii Khat Mae Likh Rha Hn
Khayaal KrNa Jalaa Na DeNaa...

GuZaar Rhi Hae Tmhaarii Kese
BicHaar K Hm SeY RuLa K Hm Ko...

Haqiqat00 Ko Zruur LikhNaa
Anaa Ki Khatirr Chupa Na DeNaa...

K0ii J0 PucheeY Kidhar GaYaa Voo
J0 Trii MehfiLL kA Thaa SahaRaa...

J0 FurqaTooN K Sabab BneY Thy
Kisi Bashr K0 BatA Naa DeNaa...

Mae Marr Bhi JaauuN to MuskuraNaa
Ehsaas_E_GhaM Ki Na ChooT KhaNaa...

Jo Qurb_E_GhaM SeY NigaaHen BheeGen
To Rukh Se AanchaL Hata Na DeNaa...

LaHuu Se Tehrir Kr Rha HuuN
Mae ApNi DaastaN_E_ZindaGaaNii...

J0 PhaaR Bi Daal0 To Paas RaKhNaa
HaWaa Mein TukRey Urraa Na DeNaa...

Dekha Tha UsKe Chand Sa Chehra Zara Si Der,

Dekha Tha UsKe Chand Sa Chehra Zara Si Der,

Ta’der Aayine Mein Barri Roshni Rahi.....

Tasvir Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi

Tasvir Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi
Ye Tri Tarha Mujh se To Sharrma Na Sake Gi


Maen Baat Karun ga To Ye Khaamosh Rahe Gi

Seeney Se Lagaa Longa To Ye Kchh Na Kahe Gi
Uljhii Hui Ratoon Ko Ye Suljhaa Na Sake Gi


Ye Aankhen Han Thehri Hoi Chanchal Wo Nigaahen
Ye Haath Han Sehmey Hoe Aur Mast Wo Baahen
Parchaai To Insan Ke Kaam Aa Na Sake Gi


In Hontoon Ko GhayaL Maen Kchh De Na Sakun ga
Is Zulf Ko Maen Hath Mei Bi Ley Na Sakun Ga
Aaram Wo Kiya De gi Jo Tarrpa Na Sake Gi


Tasvir Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi