Monday 30 July 2012

Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi

Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi
Zabaan Pe Qissa-e-Ghum Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi


Kabhi Hasna Kabhi Rona, Kabhi Hans Hans Ke Ro Dena
Ajab Dil Ka Ye Alam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi


Kabhi Aankhon Hi Aankhon Mein Wo Baaton Ka Bata Dena
Kabhi Takrar Baham Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi


Kisi Ko Samney Paa Kar Kisi Ke Surkh Honton Par
Anokha Saa Tabassum Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi


Hr Ik Salvat Pe  Bistar Ki Kisi Ka Naam Likha Hai
Diye Ki Lo Bhi Madham Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi

5 comments:

  1. This is the best romantic poetry selection which I ever read

    ReplyDelete
  2. Best best best poetry ever ... Amazing

    ReplyDelete
  3. Great lines written with golden water

    ReplyDelete
  4. Best piece of poetry... close to my heart❤

    ReplyDelete
  5. I'm in love with this ghazal... Aaala❤️

    ReplyDelete