Monday, 6 August 2012

Ahmad Faraz's Last Ghazal, Gham e Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi



Gham e Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chalay Aao K Duniya Se Ja Raha Hai Koi

Koi Azal Se Keh Do K Ruk Jaye Do Ghari
Suna Hai Aanay Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

Woh Is Naaz Se Baithay Hain Lash K Paas
Jaisay Roothay Huway Ko Mana Raha Hai Koi

Palat Kar Na Aa Jaye Phir Sans Nabzon Mein
Itnay Haseen Hathon Se Maiyat Saja Raha Hai Koi

18 comments:

  1. very very nice ghazal
    it's my fev

    ReplyDelete
  2. Hum na honge to kon manaye ga tumhein

    Yeh buri baat hay har baat pe rootha na karo...!

    ReplyDelete
  3. fraz sir apki gazal ma mukamal kar data hon shayed iska akhri sher ya hona chaya tha ...... ay khuda do pal ki muhlat or day da..........
    mari kabar say mayoos ja raha ha koi

    ReplyDelete
  4. Aise liki gaiii ghazal jaise mrne ka manzar ankho k samne ghoom rha ho... rellyy faboulus...awsm ..no wrds to define what sir faraz meant it..

    ReplyDelete
  5. I needed this as i just lost her and she lost me.Words are small the pain is infinite..

    ReplyDelete
  6. Ahmed faraz is my Favourite poet and and his Poetry is Awasome , nice and end is that no words to Define. May Allah bless Ahmed Faraz with jannat (heaven).
    Abdullah From Darya Khan (Bhakkar)

    ReplyDelete
  7. Ahmed Faraz Last Ghazal
    Gham e Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi¤
    Chalay Aao K Duniya Se Ja Raha Hai Koi Koi¤
    Azal Se Keh Do K Ruk Jaye Do Ghari¤
    Suna Hai Aanay Ka Wada Nibha Raha Hai Koi¤
    Woh Is Naaz Se Baithay Hain Lash K Paas¤
    Jaisay Roothay Huway Ko Mana Raha Hai Koi¤
    Palat Kar Na Aa Jaye Phir Sans Nabzon Mein¤
    Itnay Haseen Hathon Se Maiyat Saja Raha Hai Koi¤
    #Gumnaam_Zindagy #AhmedFaraz

    ReplyDelete
  8. Aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
    Waqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
    itnaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
    tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa
    tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
    aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa
    zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
    terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa
    duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
    main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa
    zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa ‘Faraz’
    zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa
    (By Ahmad Faraz)

    ReplyDelete
  9. چلے آؤ کہ دنیا سے جا رہا ہے کوئ۔۔۔۔۔ماشاءاللہ بہت ہی اعلی

    ReplyDelete