Saturday 25 August 2012

Kaho phir kiya kia jai…? Mujhe tum achi lagti ho

Kaho phir kiya kia jai…?
Mujhe tum achi lagti ho
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
Kaho Phir kiya kia jai…?Tumhari jagmagati, Muskurati,
Geet gati, Dil ruba Aankhai’n
Boht gehri Badi katil nihayat
Kushnuma Aankhai’n
Mere Dil se meri Be’tabiyo’n se
Khailti Aankhai’n
Kamoshi ki zuba’n me
mujh se kiya kuch Bolti Aankhai’n
Bazahir Dosto’n me Khil-kilati
Chor Nazro’n se mujhe Muskurati
Aawaz deti Dhunty Aankhai’n
wo meri Rouh K Rukhsar ko
ek faasle Chumti Aankhai’n
Ye sb Batai’n btati hay
Main tum ko Acha lagta ho’n
wo mere Zabth Kho Denay
pe Pemaish bhari Nazrai’n
Ada-e-be’niazi ka wo ek
naa-kaam sa manzar
wo ek Kamzor si be’ittifaqui,
be’rukhi k sir pe ek
Mohoom se kawish
Mujhe ha’n mujhe
yu’n he Nazar andaz
karne ki wo ek
Dil-Chusp si koshis
Sar-e-Mehfil tumhara Raaz
Khul jane k Dhar se
Be’irada gher ehem Logo’n se
Rasm-e-guftogu’n karna
Ye sb Batai’n btati hay
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
kaho phir kiya kia jai…?
Mere be’sakhta fikre
mere Lehjay ki hr Shoki
Mera hr waqt hr ek Simt
tum ko Dhunttai’n rehna
Nazar partay he tum pr
Zor se Dil ka Dharak uthna
Ye sb batai’n btati hay
Mujhe tum Achi lagti ho
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
Kaho phir kiya kia jai…?
Hamaray Darmiya’n Rasmo’n, Riwajo’n ka
Samaji martabe ka Umr ka or Khandano’n ka
Boht gehra khala hay
Usay Kesay, Kesay, Kesay pur kiya jai…?
Kaho phir kiya kia jai…?
Kaho phir kiya kia jAi…?

No comments:

Post a Comment