Monday, 6 August 2012

Chalo un manzaroon k sath chalty hain

Chalo un manzaroon k sath chalty hain


buhut din ho gay hain wehshatoon ki bheer main ham ko
darkhtoon par hawaain mousamoon key geet gati hain
jahan par chand taroon ko liye mat'ti main utra hy
jahan khamousyoun ko guftougo karny ki aadat hy
jahan sey rasty jaty hain anjani musafat ko
jahan sooraj ki kirnain rat par pehra bithati hain

Cahlo un manzaroon k sath chalty hain


buhut din ho gay hain wehshatoon ki bheer main ham ko
zara in kashtiyon ko ghor sey dykhoo
jo patwaroon ki baNhooN main
samanadar main bichi khamooshyoun ko guftugo ka saaz dyti hain
hamain aawaz dyti hain
udhar dykhoo
parindy badloon k gird urty hian
kinaroon par utarty hain


Cahlo un manzaroon k sath chalty hain


wo dykhoo qafla jata hy kuch naaqa sawaroon ka
musafat dhoop ki hy or safar hy reyzgaroon ka
kabhi jo rat parti hy to ye khymy lagaty hain
kisi ko yaad karny ki tarap main bhool jaty hain
inhi khymoon sy kitni dastanoo ky siry milty howy
naghmoon main dhalty hain



Cahlo un manzaroon k sath chalty hain


kabhi banty bigarty daayroon k darmiyaan dykhoo
shikasta ho gay becheragiky dukh main aainey
tamasha ho gain wiraaniyoon ky raqs main aankhain
yahan to guftugoo k saay bhi khamoosh rehty hain


Cahlo un manzaroon k sath chalty hain

jahan khamousyoun ko guftougo karny ki aadat hy
buhut din ho gay hain wehshatoon ki bheer main ham ko

No comments:

Post a Comment