Chalo ik baar phir se ajnabi ban jayen hum dono.
Nah mein tum se koi umeed rakhon dil-nawazi ki
Nah tum meri taraf dekho ghalat andaaz nazron se,
Nah mere dil ki dharkan larkharaye meri baton se
Nah zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se,
Tumhe bhi koi uljan rokti hai paish qadmi se
Mujhe bhi log kehte hain ke yeh jalway paraye hain
Marey hamrah bhi ruswaiyan hain mere maazi ki
Tumahray sath bhi guzri hui raatoon k saaye hain,
Taaruf rog ho jaye to is ko bhoolna behtar
Talluq boojh ban jaye to is ko torna acha,
Woh afsana jisay takmeel tak lana nah ho mumkin
Usay ik khobsorat mor dy kar chhorna acha
Chalo ik baar phir se ajnabi ban jayen hum dono
Sahir Ludhyanwi
No comments:
Post a Comment