Ab So Jao
Kyun raat ki rait pay bikhare hue
Taron ke kanker chunti ho?
Kyun sannaate ki sillouette mein
Lipti aawazian sunthee ho
Kyun apni pyaasi palkon ki
Jhaalar mein khawab proti ho?
Ab kon tumhari aankhon mein
Sadiiyon ki neend undaily ga?
Ab kon tumhari chahat ki
Haryali mein khail khailay ga?
Ab kon tumhari tanhai ka
Un dekha dukh jhele ga?
Ab aisa hai
yeh raat musallat hai jab tak
Yeh shamein jab tak jalti hain
Yeh zakham jahan tak chubhtay hain
Yeh saansein jab tak chalti hain
Tum apni soch ke jungle mein
Reh bhatko aur phir kho jao
Ab so jao...!
~Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment