Kabhi fursat miley to Fatiha parhnay chalay aana
Tumhari qabar par
Mein Fatiha parhnay nahi aaya
Mujhe maloom tha
Tum mar nahi satky
Tumhari mout ki sachhi khabar jis ne udai thi
Woh jhoota tha
Woh tum kab thay
Koi sookha sukha hua pata hawa se mil ke toota tha
Meri ankhen
Tumahray manazron mein qaid hain ab tak
Mein jo bhi daikhta hon
Sochta hon
Woh wohi hai
Jo tumhari naik Nami aur bad Nami ki duniya thi
Kahin kuch bhi nahi badla
Tumahray haath meri unglio mein saans letay hain
Mein likhnay ke liye
Jab bhi qalam kaghaz uthata hon
Tumhe betha hua mein apni hi kursi mein paata hon
Badan mein mere jitna bhi lahoo hai
woh tumhari
Lagzishon nakamiyoo ke sath behta hai
Meri aawaz mein choup kar
Tumhara zehen rehta hai
Meri bimarion mein tum
Meri lachariyon mein tum
Tumhari qabar par jis ne tumhara naam likha hai
Woh jhoota hai
Tumhari qabar mein main dafan hon
Tum mujh mein zindah ho
Kabhi fursat miley to Fatiha parhnay chalay aana.
Nida Fazli
No comments:
Post a Comment