Friday, 9 September 2022

Udaas Chehra Naraz Aankhein | Urdu Nazam

Udaas Chehra Naraz Aankhein


Mizaaj barham

Khafa sa lehja

Udaas chehra

Naraaz ankhen...


Wajah jo poochi

mein ne is se

Jaan meri

Udaas kyun ho?


kyun ho barham

Naraaz kyun ho?


Aansoo niklay

Aankhon se is ki

Larkhara ky

Galaay se lag ky

Mujh se bolay


"kahan gaye thay, kyun gaye thay? 

Mujhe batao tumahray bin

Jo be basi thi

ilaaj is ka

Bta ke jatay"


Tum jo bichro

Kahan mein dhundon?

Qiyam apna

Bta ke jatay....


"Tumhe qasam hai

Ab nah jana"


Chalo ab mujh se

Yeh wada kar lo, 

Kahin bhi jao

kabhi bhi jao... 

Sath mujh ko

Ly ke jana....


Phir se mujh ko

Saza nah dena, 

Tumhe qisam hai

Bhula nah dena...


Urdu Nazam

Haath Chootay Bhi To Rishtey Nahi Chorra Kartey

Haath chhootey bhi to rishte nahi chorra kartey


Haath chhootey bhi to rishtey nahi chorra kartey

Waqt ki shaakh se lamhay nahi tora karty, 


Jis ki aawaz mein sillouette ho nigahon mein shikan

Aisi tasweer ke tukre nahi jora kartey, 


Shehad jeeney ka mila karta hai thora thora

jane walon ke liye dil nahi thora kartey, 


Lag ke saahil se jo behta hai ussay behnay do

Aisay darya ka kabhi rukh nahi morra kartey, 


Haath chhootey bhi to rishte nahi chorra kartey

Waqt ki shaakh se lamhay nahi tora kartey, 


Gulzaar

Wednesday, 7 September 2022

Kabhi Fursat Miley To Fatiha Parhnay Chalay Aana

Kabhi fursat miley to Fatiha parhnay chalay aana


Tumhari qabar par

Mein Fatiha parhnay nahi aaya

Mujhe maloom tha

Tum mar nahi satky

Tumhari mout ki sachhi khabar jis ne udai thi

Woh jhoota tha

Woh tum kab thay

Koi sookha sukha hua pata hawa se mil ke toota tha

Meri ankhen

Tumahray manazron mein qaid hain ab tak

Mein jo bhi daikhta hon

Sochta hon

Woh wohi hai

Jo tumhari naik Nami aur bad Nami ki duniya thi

Kahin kuch bhi nahi badla

Tumahray haath meri unglio mein saans letay hain

Mein likhnay ke liye

Jab bhi qalam kaghaz uthata hon

Tumhe betha hua mein apni hi kursi mein paata hon

Badan mein mere jitna bhi lahoo hai

woh tumhari

Lagzishon nakamiyoo ke sath behta hai

Meri aawaz mein choup kar

Tumhara zehen rehta hai

Meri bimarion mein tum

Meri lachariyon mein tum

Tumhari qabar par jis ne tumhara naam likha hai

Woh jhoota hai

Tumhari qabar mein main dafan hon

Tum mujh mein zindah ho

Kabhi fursat miley to Fatiha parhnay chalay aana. 


Nida Fazli



Chalo Ik Baar Phir Se Ajnabi Ban Jayen Hum Dono

Chalo ik baar phir se ajnabi ban jayen hum dono. 


Nah mein tum se koi umeed rakhon dil-nawazi ki

Nah tum meri taraf dekho ghalat andaaz nazron se, 


Nah mere dil ki dharkan larkharaye meri baton se

Nah zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se, 


Tumhe bhi koi uljan rokti hai paish qadmi se

Mujhe bhi log kehte hain ke yeh jalway paraye hain


Marey hamrah bhi ruswaiyan hain mere maazi ki

Tumahray sath bhi guzri hui raatoon k saaye hain, 


Taaruf rog ho jaye to is ko bhoolna behtar

Talluq boojh ban jaye to is ko torna acha, 


Woh afsana jisay takmeel tak lana nah ho mumkin

Usay ik khobsorat mor dy kar chhorna acha


Chalo ik baar phir se ajnabi ban jayen hum dono


Sahir Ludhyanwi



Kaisay Kisi K Ishhq Mein Marnay Ki Thaan Len

Kaisay kisi ke ishhq mein marnay ki thaan len


Kaisay kisi ke ishhq mein marnay ki thaan len

Dil na murad zeist se be zaar bhi to ho., 


Apna bhi koi ho, koi dildar bhi to ho

Hum sir phiron ka koi khredar bhi to ho, 


Ghuncha mehak ko dil mein chupaye rahay to kya

Gir ishhq hai to ishhq ka izhaar bhi to ho, 


Yeh kya ke go mgo mein rahay guftagu tamam

Iqraar gir nahi hai to inkaar bhi to ho, 


Chahat mein khud supurdagi pihm bhi boojh hai

Shikway gilaay bhi hon, kabhi takraar bhi to ho, 


Kaisay kisi ke ishhq mein marnay ki thaan len

Dil na mُrad zeist se be zaar bhi to ho, 


Ather murawatein woh kahan se khareed laaye

Jinsy wafa ka shehar mein bazaar bhi to ho. 


Ather Shakeel