Showing posts with label Urdu Shayari. Show all posts
Showing posts with label Urdu Shayari. Show all posts

Wednesday, 7 September 2022

Kabhi Fursat Miley To Fatiha Parhnay Chalay Aana

Kabhi fursat miley to Fatiha parhnay chalay aana


Tumhari qabar par

Mein Fatiha parhnay nahi aaya

Mujhe maloom tha

Tum mar nahi satky

Tumhari mout ki sachhi khabar jis ne udai thi

Woh jhoota tha

Woh tum kab thay

Koi sookha sukha hua pata hawa se mil ke toota tha

Meri ankhen

Tumahray manazron mein qaid hain ab tak

Mein jo bhi daikhta hon

Sochta hon

Woh wohi hai

Jo tumhari naik Nami aur bad Nami ki duniya thi

Kahin kuch bhi nahi badla

Tumahray haath meri unglio mein saans letay hain

Mein likhnay ke liye

Jab bhi qalam kaghaz uthata hon

Tumhe betha hua mein apni hi kursi mein paata hon

Badan mein mere jitna bhi lahoo hai

woh tumhari

Lagzishon nakamiyoo ke sath behta hai

Meri aawaz mein choup kar

Tumhara zehen rehta hai

Meri bimarion mein tum

Meri lachariyon mein tum

Tumhari qabar par jis ne tumhara naam likha hai

Woh jhoota hai

Tumhari qabar mein main dafan hon

Tum mujh mein zindah ho

Kabhi fursat miley to Fatiha parhnay chalay aana. 


Nida Fazli



Kaisay Kisi K Ishhq Mein Marnay Ki Thaan Len

Kaisay kisi ke ishhq mein marnay ki thaan len


Kaisay kisi ke ishhq mein marnay ki thaan len

Dil na murad zeist se be zaar bhi to ho., 


Apna bhi koi ho, koi dildar bhi to ho

Hum sir phiron ka koi khredar bhi to ho, 


Ghuncha mehak ko dil mein chupaye rahay to kya

Gir ishhq hai to ishhq ka izhaar bhi to ho, 


Yeh kya ke go mgo mein rahay guftagu tamam

Iqraar gir nahi hai to inkaar bhi to ho, 


Chahat mein khud supurdagi pihm bhi boojh hai

Shikway gilaay bhi hon, kabhi takraar bhi to ho, 


Kaisay kisi ke ishhq mein marnay ki thaan len

Dil na mُrad zeist se be zaar bhi to ho, 


Ather murawatein woh kahan se khareed laaye

Jinsy wafa ka shehar mein bazaar bhi to ho. 


Ather Shakeel

Tuesday, 6 September 2022

Ab So Jao | Mohsin Naqvi Ghazal

Ab So Jao


Kyun raat ki rait pay bikhare hue

Taron ke kanker chunti ho?

Kyun sannaate ki sillouette mein

Lipti aawazian sunthee ho

Kyun apni pyaasi palkon ki

Jhaalar mein khawab proti ho?


Ab kon tumhari aankhon mein

Sadiiyon ki neend undaily ga?

Ab kon tumhari chahat ki

Haryali mein khail khailay ga?

Ab kon tumhari tanhai ka

Un dekha dukh jhele ga?


Ab aisa hai

yeh raat musallat hai jab tak

Yeh shamein jab tak jalti hain

Yeh zakham jahan tak chubhtay hain

Yeh saansein jab tak chalti hain

Tum apni soch ke jungle mein

Reh bhatko aur phir kho jao

Ab so jao...!


~Mohsin Naqvi

Ay Adam Ehtyaat Logoon Se

 Ay Adam Ehtyaat Logoon Se,

Loug Munkir Nakeer Hoty Hain.

Thursday, 9 August 2012

Saturday, 28 July 2012

Jo Utar k Zeena_e Sham Sey

Jo Utar k Zeena_e Sham Sey

Teri Chashm_e Tar Mei Sama Gaye



Vohi Jalte Bujhte Charaagh Sey

Mere Baam_o Dar Ko Saja Gaye



Vo Ajeeb Phool Sey Lafz They

Tere Hont Jin Sey Mehek Utthey



Mere Sehen_e Dil Mei Door Tak

Kai Baagh_e Dil Laga Gaye



Ye Ajeeb Khel Hai Pyaar Ka

Meine Aap Dekha Yeh Mojza



Vo Jo Lafz Mere Gumaan Mei They

Vo Teri Zaban Pe AA Gaye



Vo Jo Geet Tum Ne Suna Nahi

Meri Umar Bhar Ka Riaz Tha



Mere Gham Ki Thi Vo Dastaan

Jise Tum Hansi Mei Uraa Gaye…