kamaal-e-zabt to main khud bhi to azmaon gi
main apne haath se uski dulhan sajaon gi
supurd kar ke use chaandni ke haathon
main apne ghar ke andheron ko laut aaongi
badan ke karb ko woh bhi samajh na payega
main dil main roungi aankhon main muskroungi
woh kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
main kis se rooth sakoungi kise manaongi
woh eik rishtaa-e-benaam bhi nahiin laikin
main ab bhi us ke ishaaron pe sar jhukhaoungii
bichaa diya tha gulabon ke saath apna wajood
woh sou ke uthe to khwaabon ki raakh uthaoungi
ab us ka fan to kisi aur se mansoob hua
main kis ki nazam akele main gungunaoungi
--z dhoondh raha thaa nayee mohabbat ka
woh keh raha tha ke main us ko bhool jaoungi
samaton main ghanay jangalon ki saansein hain
main ab kabhi teri awaz sun na paoungi
No comments:
Post a Comment