Koi umeed bar nahi aati,
Koi surat nazar nahi aati.
Mout ka ek din muaeeyn hai,
Nind kyu raat bhar nahi aati.
Aage aati thi haal-e-dil pe hansi,
Ab kisi baat par nahi aati.
Janta hu sawab-e-taat-o-zohad,
Par tabiyat idhar nahi aati.
He kuchh esi hi baat jo chup hu,
Warna kya baat kar nahi aati.
Kyu na chikhu ki yaad karte hain,
Meri aawaz gar nahi aati.
Gaag-e-dil gar nazar nahi aata,
Boo bhi ye charagar nahi aati.
Hum waha he jahaa se humko bhi,
Kuchh humari khabar nahi aati.
Marte he aarzoo me marne ki,
Mout aati he par nahi aati.
Kaabe kis muh se jaaoge GHALIB,
Sharm tumko magar nahi aati.
No comments:
Post a Comment