Tuesday, 29 November 2011

Khamoshi Bol Uthe, To Har Nazar Paighaam Ho Jaye

Khamoshi Bol Uthe, To Har Nazar Paighaam Ho Jaye
Ye Sannata Agar Had Se Badhe To Kohraam Ho Jaye

Sitaray Mashalein Le Kar Mujhy Bhi Dhoondny Niklain
Mein Rasta Bhool Jaoon To Junglon Mein Shaam Ho Jaye

Men Wo Adam-E-Guzedaan Hoon Jo Tanhai K Sehra Mein
Khud Apni Chaap Sun Kar Larza Bar-Andaam Ho Jaye

Misaal Aisi Hai Is Daur-E-Khirad K Hosh Mandon Ki
Na Ho Daaman Mein Zar’ra Aur Sehra Naam Ho Jaye

Shakeeb Apne Tarruf Ke Liye Ye Baat Kaafi Hai
Hum Is Se Bach Ke Chalte Hen Jo Rasta Aam Ho

No comments:

Post a Comment