Saturday, 4 August 2012

Kabhi yun bhi to ho dariya ka sahil ho pure chand ke raat ho aur tum aao




Kabhi yun bhi to ho
dariya ka sahil ho
pure chand ke raat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
pariyon ke mahafil ho
koi tumhari baat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
ye narm mulayam thandi havayen
jab ghar se tumhare guzaren
tumhari khushbu churayen
mere ghar le aayen
kabhi yun bhi to ho
suni har manzil ho
koi na mere sath ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
ye badal aisa toot ke barase
mere dil ke tarah milane ko
tumhara dil bhi tarase
tum nikalo ghar se
kabhi yun bhi to ho
tanahai ho, dil ho
bunden ho, barsat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho

3 comments:

  1. Marvelous poetry
    along with inimitable voice of Jagjit Singh

    ReplyDelete
  2. Jagjit singh ki ghazal ka ek ek word suroor deta hai mjhe,
    Main 2005 se sunta a rha houn.
    Mjhe apne jaisa ashique nhi Mila koi.

    ReplyDelete